Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Friday 24 May 2013

Aye mere Humnasheen By Muzafar Akbar Abadi

='="="="="="="='=
PO@T Muzafar
Akbar Abadi
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Aye mere Humnasheen chal kahin aur chal...!<
+
is chaman mein ab apna guzaara nahi...!<
+
Baat hoti gulon tak to seh lete hum...!<
+
Ab to kaanton pe B haq humaara nahi...!<
+
De sadaa Daar par aur kabhi Toor per...!<
+
Kis jaga main ne tum ko pukaara nahi?...!<
+
Thokren yoon khilaane se kya faida?...!<
+
Saaf keh do ke milna gawaara nhi...!<
+
Gulistan ko lahoo ki zaroorat pari...!<
+
Sub se pehle he gardan humaari kati...!<
+
Phir B kehte hein mujh se yeh ahl-e-chaman...!<
+
ye chaman hy humaara tumhara nahi...!<
+
Zalimon apni qismat pe nazaan na ho...!<
+
Dor badle ga ye waqt ki baat hai...!<
+
Wo yakeenan sune ga sadaa'en meri...!<
+
Kya tumhara Khuda hy, humaara nahi?...!<
+
Aaj aaye ho tum kal chale jao ge...!<
+
Ye mohabbat ko apni gawaara nahi...!<
+
Umar bhar ka sahara bano to bano...!<
+
Do ghari ka sahara, sahaara nhi...!<
+
Apni zulfon ko rukh se hata li jiye...!<
+
Mera zoq-e-nazar aazma Lijiye...!<
+
Aaj ghar se chala hun yeh hi soch kar...!<
+
Ya to nazrin nahi yaa nazaara nahi...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
08:23 am
19.03.2012

Wednesday 22 May 2013

Mayaar girta na doston ka BY Shoaib Khan Swati

='="="="="="="='=
Po@t
Shoaib Khan Swati
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Mayaar girta na doston ka, na hum dushman ki dhaal hotay...!<
+
Za'eef dushman pe war kertay to waqt K hum daj'jaal hotay...!<
+
Nahin tha apna mizaaj aisa, K zarf kho ker Aana bachatay...!<
+
WaGarna aise jawab detay, K phir na paida sawal hotay...!<
+
Humari fitrat ko janta hy, tabhi to dushman yeh keh raha hy...!<
+
Hy dushmani mein B zarf aisa, jo dost hotay kamal hotay...!<
+
Jo Aa K tum haal puch letay, to itni lambi na umar lagti...!<
+
K wasal ki ik gharri main saray, guzaray mah-o-saal hotay...!<
+
Use mubarak muqam uncha, sahi haqiqat humen pata hy...!<
+
Banatay rishton ki ham B seerhi, to Aasman ki misal hotay...!<
+
==>END<==
Khaki.G
Wed 22/05/13

Tuesday 21 May 2013

Ne'matein bant'ta jis simt wo zeeshan gaya By Aala Hazrat

='="="="="="="='=
PO@T
Imamul kalam Aala Hazrat Fazile Bareilvi Ahmad Raza Khan R.A.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ne'matein bant'ta jis simt wo zeeshan gaya...!<
+
Sath hi Munshia-e-Rehmat ka qalamdaan gaya...!<
+
Le khabar jald K ghairon ki taraf dhiyaan gaya...!<
+
Mere Maula mere Aqa (S.A.W) tere qurbaan gaya...!<
+
Dil hy wo dil jo teri yaad say ma'moor raha...!<
+
Sar hy wo sar jo tere Qadmon pe qurbaan gaya...!<
+
Unhein jana unhein mana na rakhha ghair se kaam...!<
+
Lillah Al Hamd main duniya se Musalmaan gaya...!<
+
Jaan-o-dil hosh wa khirad sab to Madinay pahonche...!<
+
Tum nahi chalte *Raza sara to samaan gaya...!<
+
Aah wo aankh K nakaam-e-tamanna hi rahi...!<
+
Hy wo dil jo tere dar se pur arman gaya...!<
'*'
*Aur tum par mere Aaqa (S.A.W) ki Inayat na sahi...!<
+
Najdiyo! Kalmah parhane ka B ehsaan gaya...!<
+
Aaj le un ki Panah aaj madad maang un se...!<
+
Phir na maane ge Qayamat mein agar maan gaya...!<
+
Uff ray munkar yeh badha joshe ta'assub akhir...!<
+
Bheed main haath se kam bakht ke Imaan gaya...!<
+
==>END<==
Sun'ni Tehreek SGD
Mon 20/05/13

Sunday 19 May 2013

Apne markaz se agar door nikal jao ge BY IQBAL Azeem

PEGHAM-E-IQBAL
+
Po@t: IQBAL AZEEM
+
IMRAN KHAKI
+
Apne markaz se agar door nikal jao ge
+
Khwab ho jao ge afsano mein dhal jao ge
+
Ab to chehron K khad-o-khal B pehle se nahin
+
Kis ko maloom tha tum itne badal jao ge
+
Apne parcham ka kahin rang bhula mat dena
+
Surkh sholon se jo khelo ge to jal jao ge
+
De rahe hain tumhain to log rafaqat ka fareb
+
In ki tareekh parho ge to dehal jao ge
+
Apni mitti pe hi chalne ka saleqa sekho
+
Sang-e-mar'mar pe chalo ge to phisal jao ge
+
Khwab'gahon se nikalte hue darte Q ho?
+
Dhoop itni to nahin hy K pighal jao ge
+
Taiz Qadmon se chalo aur tasadam se bacho
+
Bheer mein sust chalo ge to kuchal jao ge
+
Hum'safar dhundo na rahbar ka sahara chaho
+
Thokarain khao ge to khud hi sambhal jao ge
+
Tum ho ek zinda jawed riwayat K chiragh
+
Tum koi shaam ka suraj ho K dhal jao ge?
+
Subh sadik mujhe matloob hy kis se mangon?
+
Tum to bhole ho, chraghon se behal jao ge

Saturday 4 May 2013

Daikho to kon jurat-e-tamheed kar giya

='="="="="="="='=
._.-._.JURAT._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Daikho to kon jurat-e-tamheed kar giya...!<
+
Roshan shab-e-siah main khursheed kar giya...!<
+
Chunwa K mary jism ko deevar-e-kurb main...!<
+
Wo mujh ko zinda rehne ki takeed kar giya...!<
+
Jis K liay hayat ka her lamha waqf tha...!<
+
Wo B meri hayat per tanqeed ker gia...!<
+
Is saya-e-hayat K dhalne ki dair thi...!<
+
Her shakhs mujh se rabt ki tardeed ker gia...!<
+
==>END<==
Khaki.G
Sat 04/05/13

Friday 3 May 2013

Tu watan ki Aabro hy, (PST)

='="="="="="="='=
._.-._.SIPAHI._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Tu watan ki Aabro hy, tu watan ka hy saharah..!<
+
Yeh hawaon K musafir, yeh samundaron K raahi..!<
+
Mere sir bakaf muajhahid, mere sar shikan sipahi..!<
+
Yeh tera yaqeen mehkam, teri himmaton ki jaan hy..!<
+
Tere bazo'uon ki kuwwat tere azm ka nishan hy..!<
+
Tu hi raah, Tu hi manzil, Tu hi meer-e-karwaan hy..!<
+
Yeh zameen teri zameen hy, yeh jahaan tera jahan hy..!<
+
Tu watan ka pasbaan hy, tere haath main hy shahi..!<
+
Mere sir bakaf mujhahid, mere sar shikan sipahi..!<
+
Teri abro'uon ki junbash teri ankh ka isharah..!<
+
Tere dushmano ki aafat, tere qehar ka isharah..!<
+
Tu watan ki aabro hy , Tu watan ka hy sahara..!<
+
Is aabro se chamka, is dais ka sitara..!<
+
Yehi bankapan hy tera , yehi teri kaj'kalahi..!<
+
Mere sir bakaf mujhahid, mere sar shikan sipahi...!<
+
==>END<==
Sunni Tehreek

Thursday 2 May 2013

Jis chiz ki Aaj zarurat hy By jalali sb (P.S.T)

='="="="="="="='=
._.-._.BEDARI._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Jis chiz ki Aaj zarurat hy...!<
+
Wo Sunni ki bedari hy...!<
+
Gar jag gya yeh Sunni to phir...!<
+
Har taqat par bhari hy...!<
+
Nakam hain ghary sadmay B...!<
+
Teri ghari need urane main...!<
+
Ab band kamar, Q susti se...!<
+
Teri Aaj talak mat mari hy...!<
+
Har koi apne maslak se...!<
+
Wabasta rha kar jeeta hy...!<
+
Q sunni apne maslaq K...!<
+
Izhar se ab tak Aa'ree hy...!<
+
Ab jaag utho tujhe DAATA K...!<
+
Darbaar ka khun bulata hy...!<
+
Tu bool pary to nagar nagar...!<
+
Pir teri hi sardari hy...!<
+
Ye aaj jo garaj tumhari hy...!<
+
Bedari hi bedari hy...!<
+
POET
Mufti Dr.Muhammad Ashraf Asif Jalali Sb
==>END<==
Pakistan Sun'ni Tahrek Sargodha

Wednesday 1 May 2013

Dasht_e_gurbat main muflison ka lahoo aam bikta (mazdoor) By Faiz

='="="="="="="='=
PO@T
Faiz Ahmand Faiz
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Dasht_e_gurbat main muflison ka lahoo aam bikta hy...!<
+
Kisi ka jism bikta hy kisi ka nam bikta hy...!<
+
Dunya de gi kya tum ko or tum lo ge kya is se?...!<
+
Aa mera daman tham, k Maikhane main jam bikta hy...!<
+
Hirs k bazaron main Hawwa ki beti ka aanchal...!<
+
Pehle subh ko bikta tha magar ab har sham bikta hy...!<
+
Ameer-e-shehar K mehlaat ki baat B khoob hy *Faiz*...!<
+
Magar faqeer-e-shehar ki goad main ab aram bikta hy...!<
+
==>END<==
Khaki.G
Wed 01/05/13

Ghareeb K jo bachay hain (Mazdoor)

='="="="="="="='=
._.-.MAZDOOR.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ghareeb K jo bachay hain...!<
+
Kia ajeeb hotay hain...!<
+
Neend main to hanstay hain...!<
+
Jagnay par rotay hain...!<
+
Ghareeb K jo bachay hain...!<
+
Khawahi'shon K kachay hain...!<
+
Khawab dil main botay hain...!<
+
Daant kha K sotay hain...!<
+
Jhoolay main bhe'laa'way K...!<
+
Roz jhool jatay hain...!<
+
Aatay K khilone se...!<
+
Zid B bhool jatay hain...!<
+
Khawahishon main jeetay hain...!<
+
Hasraton main martay hain...!<
+
Aatay K khilone se...!<
+
Zid ka pait bharte hain...!<
+
==>END<==
Khaki.G
Wed 01/05/13

1 may

Dasht-e-gurbat main tumhain kaun pukare ga Faraz...!<
+
Chal paro khud hi jidhur dil ki sada ley jaye...!<
+
Khaki.G