Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday 28 April 2015

Aankh barsi hai tere naam pe sawan ki tarah(Muntazir)

Aankh barsi hai tere naam pe sawan ki tarah...!<
+
Jism sulgha hai teri yaad main eindhan ki tarah...!<
+ ++
Louriyaan dein hain kisi qurb ki khakhish ne mujhe...!<
+
Kuch jawani k bhi din guzray hain bachpan ki tarah...!<
+ ++
Is bulandi se mujhe tou ne nawaza kyun tha?...!<
+
Gir k main toot gya kaanch k bartan ki tarah...!<
+++
Mujh se milte hue yeh baat to soochi hoti...!<
+
Main tere Dil main sama jaon ga dharkan ki tarah...!<
+++
Muntazir hai kisi makhsoos si aahat k liye...!<
+
Zindagi bethi hai dehleez pe barhan ki tarah...!<
+++
KHAKI.G

Thursday 23 April 2015

Aa k wabasta hain us husan ki yadain tujhse (Faiz Ahmad Faiz)

*_**_**_**_**_*
 Po@t Faiz Ahmad Faiz
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*_**_**_**_**_*
Aa k wabasta hain us husan ki yadain tujhse
Jis ne is dil ko parri khana bana rakha tha

*_*
Jis ki ulfat mai bhula rakhi thi duniya humnay
Dehar ko dehar ka fsana bana rakha tha

 *_*
Aashna hain teray qadmu se wo rahain jin par
Us ki madhosh jawani ne anayat ki hai

*_*
Karwaan guzray hain jin pay uss raanaee k
Jiski in ankhu ne be sood abadat ki hai

*_*
Tujhse khaili hain wo mehboob hawain jin mai
Us k malboos ki afsurda mahak baaqi hai

*_*
Tujh pay b barsa hai us baam se mehtab ka noor
 K jis may beti huwi ratu ki kasak baki hai

*_*
Tu ne daikhi hai wo payshani, wo rukhsaar, wo hont
Zindagi jin k tasawwur mai luta di humnay

*_*
Tujh pay uthi hai wo khoe hoe sahar ankhain
Tujh ko maloom hai kiu umr ganwaa di humne

*_*
Hum py mushtarka hain ahsaan gham-e-ulfat k
Itny ahsaan k ganwau to ganwa na saku

*_*
Humne is ishq mei kya khoya hy kya seekha hy
Juz tere aur ko samjhau toh samjha na sakuun
*_*
KHAKI*_*G