Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday 28 July 2015

Chalo! ab baal kholain aur karen kch wajad ki baatein

Chalo! ab baal kholain aur karen kch wajad ki baatein...!<
+
chalo! khowaboon ki matti mein haqeeqat ko milaain hum...!<
+
chalo! qabrain banayen hum______,,,
+
chalo! namkeen ashkon se banayen itar hasrat ka...!<
+
chalo! ab trbt-e-ahsas par chhrhkin lahoo apna...!<
+
chalo! chadar charhayen hum mazaar-e-zaat par apni...!<
+
kahin se pattian lao_______,,,,,
+
faraaq yaar se mehki hui kch pattian lao...!<
+
chalo! shammen jalayen hum sarahnay goar ke apne...!<
+
chalo! ab baal kholeen aur karen kchh wajad ki baatein...!<
+
chalo! ab raqs karte hain tamannaon ke marqad par...!<
+
karen kch bain khowaboon ka_____,,,
+
karen kُchh maatam hasti______,,,
+
chalo! taveez likhain hum aur iss par yeh raqam kar den ke...!<
+
aadam, ibn-e aadam ko aِsi matti mein sona hai ____,,,
+
yahi to khail baqi hai jo sab ke sath hona hai ___!
    ♥
  ♥♥
♥♥♥
Khaki♥G

Sunday 19 July 2015

Har chand sahara hy, tary pyar ka dil ko

Har chand sahara hy, tary pyar ka dil ko..!<
+
Rehta hy magar, ek ajab khauf sa dil ko..!<
♥♥
Wo khawab K dekha na kabhi, le ura neendain..!<
+
Wo dard K utha na kabhi, kha gaya dil ko..!<
♥♥
yaan saans ka lena bhi, guzar jana hy jee se..!<
+
yaan maarka ishq bhi, aik khail ka dil ko..!<
♥♥
wo ayen to heraan, wo jayen to pareshaa..!<
+
yarab koi samjhaye, yeh kya hogaya dil ko?..!<
♥♥
Khaki.G

Saturday 18 July 2015

Saqi" sharaab laa K, tabiyat udaas hy (addam)

Saqi" sharaab laa K, tabiyat udaas hy...!<

Mutarrab Rubab utha K, tabiyat udaas hai ...!<
♥♥
Chubhti hai qalb_o_jaan mein sitaron ki roshni ...!<

Aye chaand doob ja K, tabiyat udaas hai ...!<
♥♥
Shayad tary labon ki chatak se ho jee bahaal ...!<

Aye dost muskura K, tabiyat udaas hai ...!<
♥♥
Hai husn ka Fasoon bhi ilaaj_e_fasurdagi ...!<

Rukh se naqaab utha K tabiyat udaas hai ...!<
♥♥
Mein ne kabhi yeh zid to nahi ki par aaj shab ...!<

Aye Meh jabeen na ja K,tabiyat udaas hai ...!<
♥♥
Tauba to kar chuka hon magar phir bhi aye Aadam ...!<

Thora sa zeher laa K, tabiyat udaas hai ...!<
    ♥
  ♥♥
♥♥♥
Khaki.G

Friday 17 July 2015

Kisi aur gham mein itni khalish-e-nihaan nahin hai.

Kisi aur gham mein itni khalish-e-nihaan nahin hai...!<

Gham-e-dil mera rafiqo, gham-e-raayegaan nahin hai...!<
Koi hum-nafas nahin hai koi raazdaan nahin hai...!<
Faqat ek dil tha apna, so wo mehrbaan nahin hai...!<
Meri rooh ki haqiqat mere aansuon se poochho...!<
mera majlisi tabassum, mera tarjumaan nahin hai...!<
Kisi aankh ko sada do, kisi zulf ko pukaaro...!<
bari dhoop par rahi hai, koi saayebaan nahin hai...!<
Inhin pattharon pe chal kar agar aa sako to aao...!<
mere ghar ke raaste mein koi kahkashaan nahin hai...!<
    ♥
  ♥♥
♥♥♥
Khaki♥G