Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Friday 29 January 2016

Ik aafat-e-jaan hy jo madawa mare dil ka ( Tasleem Lakhnoy )

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Tasleem Lakhnoy

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Ik aafat-e-jaan hy jo madawa mare dil ka...!<
+
Acha koi phir Q ho maseeha mary dil ka...!<
+

Q bheer lagai hy mujhe dekh k betaab...!<
+
Kiya koi tamasha hy tarapna mare dil ka?...!<
+

Bazar-e-mohabbat main kami karti hy taqdeer...!<
+
Ban ban K beghar jata hy soda mare dil ka...!<
+
Agar wo na huway faisla-e-hashar pay raazi...!<
+
Kiya ho ga phir injaam khudaaya mare dil ka...!<
+

Kaya kohkn-o-qais ko dete dam taqseem...!<
+
Hissa tha gham-e-hosla farsaa mare dil ka...!<
+

Go main na rahun mehfil-e-janan mein magar roz...!<
+
TASLEEM! Youn hi zikar rahay ga mare dil ka...!<
+

(Ameer Ul Allah Tasleem)
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Kisi shammaa pay parwana koi qasdan nahi marta

*=*=*=*=*=*=*
*=*GHAZAL*=*
*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Kisi shammaa pay parwana koi qasdan nahi marta...!<
+
Usay to wasal K lamhoon ki hasrat maar deti hai...!<
+

Yeh sach hai ke too lafzon ka sahara to nahi laita...!<
+
Tairay khamosh lehjey ki fasahat maar deti hai...!<
+

Mere pegham ka matlab wo na samjhay to chup rehna...!<
+
K aksar aisay moqaon par wazahat maar deti hai...!<
+

Khuda ka naam bhi aur naik Nami ki tamanna bhi...!<
+
Arey Zahid dikhavay ki ibadat maar deti hai...!<
+

Tumhe murda zmiron par taajjub kis liye itna?...!<
+
Yeh be wajah nahi martay zaroorat maar deti hai...!<
+

Suno ahd-e-shabab aaya hai ab mohtaat ho jao...!<
+
Nai kaliyon ko bawaron ki shararat maar deti hai...!<
+

ussay kehna K din dhalnay ko hai ab ghar ko loot aaeye...!<
+
Andheri raat mein lambi masafat maar deti hai...!<
+

Khayalon mein sahi lekin wo mere samnay to hai...!<
+
Mujhe khowabon mein rehne do haqeeqat maar deti hai...!<
+

Yahan dil bik rahay hain darham-o-dinar K aiwz...!<
+
Naafa ho ya khasara yeh tijarat maar deti hai...!<
+

Mere shanay pay sir rakh kar kabhi jee bhar ke roo dayna...!<
+
K sab kuch zabt karne ki yeh aadat maar deti hai...!<
+

Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Wohi aablay hain wohi jalan, koi soz-e-dil mein kami nahi (Shakeel Badauni)


*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Shakeel Badauni
*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Wohi aablay hain wohi jalan, koi soz-e-dil mein kami nahi...!<
+
Jo laga K aag gaye they tum, wo lagi hui hai bujhi nahi...!<
+

Tari yaad aisi hai bawafa, pas merg B na hui juda...!<
+
Tari yaad hi mein hum met gaye, tari yaad dil se meti nahi...!<
+

Meri zindagi pay na muskura, mujhe zindagi ka elum nahi...!<
+
Jisay tairay gham se ho wasetaa, wo Khizaa bahhar se kam nahi...!<
+

Mara kufar hasil-e-zuhad hai, mara zuhad hasil-e-kufar hai...!<
+
Mari bandagi! hai wo bandagi jo rahin der-o-haram nahi...!<
+

Mujhe raas ayen khuda kere yahi ishtibaah ki saaetein...!<
+
Unhen aitbaar wafa to hai, mujhe aitbaar sitam nahi...!<
+

Wohi karwan, wohi rastay, wohi zindagi, wohi marhalay...!<
+
Magar apne apne maqam par, kabhi hum nahi, kabhi tum nahi...!<
+

Na wo shan-e-jabar shabab hai, na wo rang qahir azaab hai...!<
+
Dil-e-be'qarar pay in dinon, hai sitam yahi, K sitam nahi...!<
+

Na fanaa mari, na baqa mari, mujhe aye SHAKEEL! na dundiyeh...!<
+
Mein kisi ka Husn khayaal hoon, mara kuchh wujood wa'adam nahi...!<
+

Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Kiya cheez thi, kya cheez thi zalim ki nazar bhi ( Jigar Moradabadi)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Jigar Moradabadi

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Kiya cheez thi, kya cheez thi zalim ki nazar bhi...!<
+
Uffffffff kar K wahein baith gaya dard jigar bhi...!<
+
Hoti hi nahi kam shab-e-furqat ki siyahi...!<
+
Rukhsat hui kya shaam K hamrah sehar bhi...!<
+
Yeh mujrim ulfat hai, aur wo mujrim Deedar...!<
+
Dil le K chalay ho to, liye jao nazar bhi...!<
+
Kiya dekhen gay hum jalwa mehboob, K hum se...!<
+
Dekhi na gayi dekhnay walay ki nazar bhi...!<
+
Mayoos shab-e-hijar na ho, aye dil-e-betaab...!<
+
Allah dekhaay ga, to dekhen ge sehar bhi...!<
+
Jalwoon ko tare dekh ke jee chaah raha hy ab...!<
+
Aankhon mein utar aeye mara Kaif-o-nazar bhi...!<
+
Waiz na darha mujh ko qayamat ki sehar se...!<
+
Dekhi hai in aankhon ne qayamat ki sehar bhi...!<
+
Us dil K tassadaq jo mohabbat se bhara ho...!<
+
Us dard K sadqy jo idher bhi ho udher bhi...!<
+
Hai faisla ishq jo manzoor to uthiye...!<
+
Aghyar bhi mojood hain, hazir hai JEGHR bhi...!<
+
KHAKI.G


M IMRAN KHAKI

Friday 22 January 2016

Wo dil hi kiya tere milne ki jo dua na kare ( Qateel Shifai )

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Qateel Shifai

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Wo dil hi kiya tere milne ki jo dua na kare...!<
+
Main tujh ko bhul k zinda rahun Khuda na kare...!<
+
Rahe ga sath tera pyar zindagi ban kar...!<
+
Ye aur bat meri zindagi wafa na kare...!<
+
Ye thik hai nahin marta koi judai mein...!<
+
Khuda kisi se kisi ko magar juda na kare...!<
+
Suna hai us ko mohabbat duayen deti hai...!<
+
Jo dil pe chot to khaye magar gila na kare...!<
+
Zamana dekh chuka hai parakh chuka hai use...!<
+
"Qateel" jan se jaye par iltaja na kare...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Thursday 21 January 2016

Kab thehray ga dard aye dil, kab raat basar ho gi (Faiz Ahmad Faiz)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Faiz Ahmad Faiz

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Kab thehray ga dard aye dil, kab raat basar ho gi...!<
+
Suntay thay wo ayen ge, suntay thay sehar ho gi...!<
+
Kab jaan lahoo ho gi, kab aashk Gohr ho ga...!<
+
Kis din tari shanwai aye deedaa-e-tar ho gi...!<
+
Kab mehkay gi fasal-e-Gul , kab behke ga mekhana...!<
+
Kab subh-e-sukhan ho gi, kab sham nazar ho gi...!<
+
Waiz hai na Zahida hai, naaseh hai na qaatil hai...!<
+
Ab shehar mein yaaron ki kis terhan basar ho gi...!<
+
Kab tak abhi reh dekhen aye qayamat Janana...!<
+
Kab hashar muayyan hai tujh ko to khabar ho gi...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Sunday 17 January 2016

Na ganwao nawak-e-neem kash, (Faiz Ahmad Faiz)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Faiz Ahmad Faiz

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Na ganwao nawak-e-neem kash, dil-e-reza reza ganwa diya...!<
+
Jo bache hain sang samait lo, tan-e-dagh dagh luta diya...!<
+
Mere charahgar ko naveed ho, sifh-e-dushmanan ko khabar karo...!<
+
Wo jo qarz rakhte the jaan par, wo hisab aaj chuka diya...!<
+
Karo kaj jabeen pe sar kafan, mere qatilon ko guman na ho...!<
+
Keh gharor-e-ishq ka bankpan, pas-e-marg hum ne bhula diya...!<
+
Udhar ek harf ke kashtani, yahan laakh guzar tha guftani...!<
+
Jo kaha to sun kar ura diya, jo likha to parh kar mita diya...!<
+
Jo ruke to koh-e-giran the hum, jo chaly to jaan se guzar gaye...!<
+
Reh-e-yaar hum ne qadam qadam, tujhe yaadgar bana diya...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Sunday 10 January 2016

Hamein peenay pilanay ka maza ab taq nahi aaya * Riyaz khair aabadi)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Riyaz Kher Abadi

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Hamein peenay pilanay ka maza ab taq nahi aaya...!<
+
K bzm-e-mei mein koi paarsa ab taq nahi aaya...!<
+
Sitam bhi lutaf ho jata hai bhoolay pan ki baton mein...!<
+
Tujhey aye jaan, andaz jfaa ab taq nahi aaya...!<
+
Gaya tha keh ke yeh qasid K ultay paon aata hon...!<
+
Kahan kam'bakht ja kar mar raha, ab taq nahi aaya...!<
+
Sitam karna, dagha karna, K waday ka wafa karna...!<
+
Batao, kya tumhe aaya hai? kya ab taq nahi aaya?...!<
+
Bata den aa gaya kya tum ko is uthti jawani mein...!<
+
Bata den kaan mein chupkay se kya ab taq nahi aaya...!<
+
Wo din aeye maray sarkar ehley bazm se poucheen...!<
+
Kahan hai kyun Riaz khush'nawa ab taq nahi aaya...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Saturday 9 January 2016

Jo thake thake se thay hosalay wo shabab ban  K machal gaye (shair lakhnavi)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Shair Lakhnavi

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Jo thake thake se thay hosalay wo shabab ban  K machal gaye...!<
+
Wo nazar nazar se galay milay to bujhay chargh B jal gaye...!<
+
Ye shikast-e-deed ki karwatain B bari latif-o-jameel hain...!<
+
Main nazar jhuka K tarap gaya,wo nazar bacha k nikal gaye....!<
+
Jo sambhal sambhal K bahak gaye wo farab-e-khurda-e-raah thay...!<
+
Wo maqam-e-ishq ko paa gaye jo bahak bahak K sambhal gaye...!<
+
Jo khily huway hain ravish ravish wo hazar hussn-e-chaman sahi...!<
+
Magar un gulon ka jawab kiya jo qadam qadam pe kuchal gaye...!<
+
Na hai SHAIR ab gham-e-nau-ba-nau na wo daagh-e-dil na wo Aarzoo...!<
+
Jinhen ehtimaad-e-bahar tha wohi phool rang badal gaye...!<
+
KHAKI.G


M IMRAN KHAKI

Friday 8 January 2016

Kaisay chupaun raaz-e-ghum, deeda-e-tar ko kaya karun (Husrat Mohani)

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
Molana Husrat Mohani

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Kaisay chupaun raaz-e-ghum, deeda-e-tar ko kaya karun...!<
+
Dil ki tapish ko kaya karoon, soz-e-jighar ko kaya karun...!<
+
Ghair hy garchay hum'nasheen, bazam main hy to wo naseen...!<
+
Phir mujhe le chala wahein zouq-e-nazar ko kaya karun...!<
+
Shorash-e-aashiqi kahan, aur meri sadagi kahan?...!<
+
Husan ko tary kaya kahun apni nazar ko kaya karun...!<
+
Gham ko na dil main ho guzar, wasal ki shab ho youn basar...!<
+
Sb yeh qubool hy magar, khof-e-sehar ko kaya karun...!<
+
Haal mera tha jab batar, tab na hui tumhain khaber...!<
+
Baad mary huwa asar, ab main asar ko kaya karun...!<
+
Dil ki hawas mitha to di, un ki jhalak dikha to dee...!<
+
Par yeh kaho k shoq ki bad-e-degar ko kaya karun...!<
+
HASRAT-e-naghar jo tera, koi na qadardaan mila...!<
+
Ab yeh bata K main tary, arz-e-hunar ko kaya karun...!<
+
khaki.G


M IMRAN KHAKI

Thursday 7 January 2016

Gay dinon ka suraagh le ker kahan se aaya kidhar gaya wo ( Nasir Kazami)

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
POET
NASIR KAZAMI

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
TEXT BY
IMRAN KHAKI

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
♥♥
Gay dinon ka suraagh le ker kahan se aaya kidhar gaya wo...!<

Ajeeb manoos ajnabi tha mujhe to heran kar gaya wo...!<
♥♥
Khusi ki ruut ho K gham ka mausam, nazar usay dhoondti hai har dam...!<

Wo boye Gul tha K naghma jaan, mere to dil mein utar gaya wo...!<
♥♥
Wo mekaday ko jaganay wala, wo raat ki neend urane wala...!<

Na jane kya is K jee mein aayi K shaam hotay hi ghar gaya wo...!<
♥♥
Shakista pa raah mein khara hon, gay dinon ko bulaa raha hon...!<

Jo qaafla mera hum.safar pak tha, misl gird safar gaya wo...!<
♥♥
Wo jis K shanay pay haath rakh kar safar kya tu nay manzlon ka...!<

Teri gali se na jane kyun aaj sir jukaye guzar gaya wo...!<
♥♥
Bas aik moti si chhb dekha kar, bas aik meethi si dhun suna kar...!<

Sitaara shaam ban K aaya, barang khawab sehar gaya wo...!<
♥♥
Wo raat ka be nawa musafir, wo tera shayar wo tera nasir...!<

Teri gali tak to hum ne dekha, phir na jane kidhar gaya wo...!<
♥♥
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Mary hum nafs, maray hum nawa, mujhe dost ban K dagha na da( Shakeel Badauni)

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
PO@T
Shakeel Badauni
♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
TEXT BY
IMRAN KHAKI
♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
♥♥
Mary hum nafs, maray hum nawa, mujhe dost ban K dagha na day...!<

Mein hun dard-e-ishq se jaan bulb mujhe zindagi ki dua na day...!<
♥♥
Mein gham-e-jahan se nidhaal hun K saraapaa Hazan-o-malaal hun...!<

Jo likhay hain mere naseeb mein wo alum kisi ko khuda na day...!<
♥♥
Na yeh zindagi meri zindagi, na yeh dastan meri dastan...!<

Mein khayaal-o-vahm se daur hun, mujhe aaj koi sada na day...!<
♥♥
Maray ghar se door hain rahtin, mujhe dhundti hain museebatein...!<

Mujh khauf yeh K mara pata koi gardishon ko bta na day...!<
♥♥
Mujhe chor day mary haal par, tara kya bharosa aye charah gar...!<

Yeh tari Nawazish mukhtasir, mara dard aur barha na day...!<
♥♥
Mara azam itna buland hy K paraye shulon ka dar nahi...!<

Mujhe khauf aatish-e-gull se hai kahin yeh chaman ko jala na day...!<
♥♥
Dar-e-yaar pay barri dhoom hai, wohi aashiqon ka hajhoom hai...!<

Abhi neend aayi hai husn ko koi shore kar ke jaga na day...!<
♥♥
Maray Daagh-e-dil se hai roshni yahi roshni meri zindagi...!<

Mujhe dar hai aye maray charah gir yeh chairag too hi bhuja na day...!<
♥♥
Wo uthay hain le K khham-o-subu, arey aye shakeel kahan hai too?...!<

Tara jaam lainay ko bazm mein, koi aur haath barha nah day...!<
♥♥
Khaki♥G


M IMRAN KHAKI

Wednesday 6 January 2016

Har soo dekhayi dete hain wo jalwa gir mujhe ( Jigar Morada Abadi)

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
PO@T
Jigar Morada Abadi

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
TEXT BY
IMRAN KHAKI

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
♥♥
Har soo dekhayi dete hain wo jalwa gir mujhe...!<

Kya kya fraib deti hai meri nazar mujhe...!<
♥♥
Aaya na raas naala-e-dil ka assar mujhe...!<

Ab tum miley to kuch nahi apni khabar mujhe...!<
♥♥
Dala hai be khudi ne ajab raah par mujhe...!<

Ankhen hain aur kuch nahi aata nazar mujhe...!<
♥♥
Karna hai aaj hzrt-e-naaseh ka saamna...!<

Mil jaye do gharri ko tumhari nazar mujhe...!<
♥♥
Yaksaa hai husn-o-ishq ki sar'mastiyon ka rang...!<

Un ki khabar nahi hai na apni khabar mujhe...!<
♥♥
Mein door hon to roye sukhan mujh se kis liye?...!<

Tum paas ho to kyun nahi aata nazar mujhe...!<
♥♥
Mastana kar raha hon rah-e-aashiqii ko tey...!<
♥♥
Le jaye jazb-e-shoq mara ab jidhar mujhe...!<
♥♥
Darta hon jalwa-e-rukh-e-janan ko dekh kar...!<

Apna bana na le kahin meri nazar mujhe...!<
♥♥
Marna hai un K paon pay rakh kar sar-e niaz...!<

Karna hai aaj qisaye gham mukhtasir mujhe...!<
♥♥
Seenay se dil Aziz hai, dil se ho tum Aziz...!<

Sab se magar Aziz hai meri nazar mujhe...!<
♥♥
Mein door hon to roye sukhan mujh se kis liye?...!<

Tum paas ho, to kyun nahi atay nazar mujhe...!<
♥♥
Kya jaaniye qafas mein rahay kya maamla...!<

Ab tak jo hain Aziz maray baal o par mujhe...!<
♥♥
Dil le K mujh se dete ho Daagh jigar mujhe...!<

Yeh baat g ki nahi Umar bhar mujhe...!<
♥♥
Khaki.G

Monday 4 January 2016

Jee chahay to sheesha ban ja, jee chahay pemana ban ja ( Baba Zaheen Shah Taji)

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
PO@T
Baba Zaheen Shah Taji

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
TEXT BY
IMRAN KHAKI

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
♥♥
Jee chahay to sheesha ban ja, jee chahay pemana ban ja...!<

Sheesha pemana kya ban-na, mai ban ja, mai'khanah ban ja...!<
♥♥
Mai ban kar, mai'khanah ban kar, masti ka afsana ban ja...!<

Masti ka afsana ban kar, hasti se begana ban ja...!<
♥♥
Hasti se begana hona, masti ka afsana ban'na...!<

Is honay se, is ban'nay se, acha hai deewana ban ja...!<
♥♥
Deewana ban jane se bhi, deewana hona acha hai...!<

Deewana honay se acha, khak-e-dar-e-janana ban ja...!<
♥♥
Khak-e-dar-e-janana kya hai, ehley dil ki aankh ka Surma...!<

Shama K dil ki thandak ban ja, Noor dil e parwana ban ja...!<
♥♥
Seekh zaheen K dil se jalna, kaahe ko har shama pay jalna...!<

Apni aag mein khud jal jaye, to aisa parwana ban ja...!<
♥♥
Khaki.G

Saturday 2 January 2016

Tu mohabbat nahi tha aadat tha(Aftab Akber)

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
AFTAB AKBAR

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Tu mohabbat nahi tha aadat tha
+
Teri aadat badal chuka hon mein
++
Adaten yun B buri hoti hain
+
Buri aadat badal chuka hon mein
++
Teri sochon mein dooba rehta tha
+
Ab wo sochen badal chuka hon mein
++
Kabhi ankhen jo jeena marna theen
+
Ab wo ankhen badal chuka hon mein
++
Kabhi tum thay K bas numaya thay
+
Ab wo mehfil badal chuka hon mein
++
Tum musafir thay ghair manzil K
+
Soo wo raste badal chuka hon mein
++
Sath reh K khushi jo bhola tha
+
Ab mein khush hon badal chuka hon mein
++
Yaad aao, to aa na pao gay
+
Khud ko itna badal chuka hon mein
++
Chahay ab koi baawafa samjhay
+
Sab wafayen badal chuka hon mein
++
Ab wo aadat nahi mohabbat hai
+
Tum se jis ko badal chuka hon mein
++
Khaki.G

Maraz yeh aam ho chala hai ab (Aftab Akbar)

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
AFTAB AKBAR
*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Maraz yeh aam ho chala hai ab...!<
+
Hum hamesha durust hotay hain...!<
+
Har kharabi hai yahan logon mein...!<
+
Hum sahih hain, durust hotay hain...!<
+
Hamein logon se bas shikayat hai...!<
+
Log aksar durust hotay hain...!<
+
Hum bohat sakht jaanch karte hain...!<
+
Go ravayye durust hotay hain...!<
+
Ghalat maienay bana K suntay hain...!<
+
Lafz bilkul durust hotay hain...!<
+
Baat hi jab na hum samajh payen...!<
+
Mashwaray kab durust hotay hain...!<
+
Peechay jatay hain hum sarabon K...!<
+
Paas raste durust hotay hain...!<
+
Jab hawalay hon chaand taron K...!<
+
Waday phir kab durust hotay hain...!<
+
Sab ki niyat mein khlal hum dhunden...!<
+
So hum tanha durust hotay hain...!<
+
Khud pay umeed phir B qaim hai...!<
+
Dekhen ab kab durust hotay hain...!<
+
khaki.G

Ab bhi yahi khayaal hai, yahi yaqeen hy (Aftab Akbar)

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
  PO@T
AFTAB AKBAR
*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Ab bhi yahi khayaal hai, yahi yaqeen hy...!<
+
Mein yunhi bad,gumaan hon, wo loot aaye ga...!<
+
Yeh faaslay huwe hain jo, logon ka khail thay...!<
+
Yeh khail wo samajh chuka, wo loot aaye ga...!<
+
Wo bhi nahi hai bhool'ta waday waeed sab...!<
+
Waday na toot payen ge, wo loot aaye ga...!<
+
Aksar mere sukoon ko, aata hai lotane...!<
+
Sochon mein gun'gu'nata hai wo loot aaye ga...!<
+
Kitna Hussain jhoot hai jo boltaa hon mein...!<
+
Wo dhundata hai rasta, wo loot aaye ga...!<
+
Khaki.G

Us ka apna hi karishma hai, fasoon hai, yun hai (Ahmad Faraz)

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
PO@T
Ahmed Faraz

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
TEXT BY
IMRAN KHAKI

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
♥♥

Us ka apna hi karishma hai, fasoon hai, yun hai...!<

Yun to kehnay ko sabhi kehte hain, yun hai, yun hai...!<
♥♥
Jaisay koi dard-e-par ho sitarha kab se...!<

Ek shaya na Daroon hai, baaroon hai, yun hai...!<
♥♥
Tum ne dekhi hi nahi dast-e-wafa ki tasweer...!<

Noke pur'khaar pay ik qatrha-e-khoo hai, yun hai...!<
♥♥
Tum mohabbat mein kahan sood-o-zayan le aaye...!<

Ishq ka naam kharid hai na junoo hai, yun hai...!<
♥♥
Ab tum aaye ho meri jaan tamasha karne...!<

Ab to darya mein talatum na sakoo hai, yun hai...!<
♥♥
Nasaha tujh ko khabar kiya K mohabbat kya hai?...!<

Roz ajata hai samajata hai K yun hai, yun hai...!<
♥♥
Shairi taaza zamanoon ki hai maimaar faraz...!<

Yeh bhi ik silsalha kun'faya'koon hai, yun hai...!<
♥♥
Khaki.G