Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Saturday, 26 May 2012

Chaak-E-daman ko jo deikha To mila Eid ka chaand,

Chaak-E-daman ko jo deikha To mila Eid ka chaand,
Apni Taqdeer kahaan bhool gaya Eid ka chaand,

Un ki abroo-E-khameeda ki trha teekha hai.
ApniAankhoon mein Barri dair tak raha Eid ka chaand,

Jany Qu aap k rukhsar chamak utthty hein,
Jb kisi ne chupky se kan mein kaha Eid ka chaand,

Door kaheen veerany mein diya ho jesy,
Gham ki diwaar se lag kr dekha To laga Eid ka chaand

Ly kr halaat k sehraoon mein aa jata hai,
Aj bhi khild ki rangeen fiza Eid ka chaand,

Talkhiaan barrh gai jb zeest k pai-many mein,
Ghol k dard k dard k maaro'n ne piya Eid ka chaand,

Chashm to wusaat'e'aflaak mein kho gai,
Dil ne ik or jaga dhond lia Eid ka chaand

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya