*CHAND RAAT*
***IMRAN KHAKI***
Gaye baras ki Eid ka din kya acha tha
Chand ko dekh k us ka chehra dekha tha
Fiza main kaktus k lehjay ki narmahat thi
Mosam apne rang main Faiz ka misrah tha
Dua k be-awaaz' alwahi lamhon main
Wo lamha bhi kitna dilkash tha
Hath utha kar jab ankhon hi ankhon main
Us ne mujh ko Rab sey manga tha
Phir mere chehre ko hath main lay kar
Kitne pyar sey chooma tha!
Hawa! Kuch aaj ki shab ka bhi ahwaal suna
Kya wo apni chat pe aaj bhi akela tha
Ya koi mere jaisi sath thi' aur us ne
Chand ko dekh k us ka chehra dekha tha
khaki G
***IMRAN KHAKI***
Gaye baras ki Eid ka din kya acha tha
Chand ko dekh k us ka chehra dekha tha
Fiza main kaktus k lehjay ki narmahat thi
Mosam apne rang main Faiz ka misrah tha
Dua k be-awaaz' alwahi lamhon main
Wo lamha bhi kitna dilkash tha
Hath utha kar jab ankhon hi ankhon main
Us ne mujh ko Rab sey manga tha
Phir mere chehre ko hath main lay kar
Kitne pyar sey chooma tha!
Hawa! Kuch aaj ki shab ka bhi ahwaal suna
Kya wo apni chat pe aaj bhi akela tha
Ya koi mere jaisi sath thi' aur us ne
Chand ko dekh k us ka chehra dekha tha
khaki G
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya