Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Friday, 25 May 2012

Iblees Ki Majlis-e-Shura

*_*Iblees Ki Majlis-e-Shura*_*
<.....>1936<.....>
TEXT BY TANHA_KHAKI
Po@t Sir Dr. Allama Iqbal

'*'
<...>Iblees<....>
'*'
Ye Anasir Ka Purana Khail, Ye Dunya-e-Doon...!<
'*'
Sakinan-e-Arsh-e-Azam Ki Tamanaon Ka Khoon...!<
'*'
Mein Ne Dikhlaya Farangi Ko Mulukiyat Ka Khawab...!<
'*'
Mein Ne Tora Masjid-o-Dair-o-Kalisa Ka Fusoon...!<
'*'
Mein Ne Nadaron Ko Sikhlaya Sabaq Taqdeer Ka...!<
'*'
Mein Ne Muneim Ko Diya Sarmayadari Ka Junoon...!<
'*'
Kon Kar Sakta Hai Uss Ki Aatish Soozan Ko Sard...!<
'*'
Jis Ke Hungamon Mein Ho Iblees Ka Souz-e-Daroon...!<
'*'
Jis Ki Shakhain Hon Humari Aabiyari Se Buland...!<
'*'
Kon Kar Sakta Hai Uss Nakhl-e-Kuhan Ko Ser Nigoon...!<
'*'
<...>Pehla Musheer<...>
'*'
Iss Mein Kya Shak Hai Ke Muhkam Hai Ye Ibleesi Nizam...!<
'*'
Pukhta Tar Iss Se Huwe Khuay Ghulami Mein Aawam...!<
'*'
Hai Azal Se In Gharibon Ke Muqaddar Mein Sujood...!<
'*'
In Ki Fitrat Ka Taqaza Hai Namaz-e-Be Qayam...!<
'*'
Arzoo Awwal To Paida Ho Nahin Sakti Kahin...!<
'*'
Ho Kahin Paida To Mer Jati Hai Ya Rehti Hai Kham...!<
'*'
Ye Humari Saee-e-Peham Ki Karamat Hai Ke Aaj...!<
'*'
Sufi-o-Mullah Mukuliyat Ke Bande Hain Tamam...!<
'*'
Taba-e-Mashriq Ke Liye Mouzoon Yehi Afyoon Thi...!<
'*'
Warna 'Qawwali' Se Kuch Kam Tar Nahin 'Ilm E Kalam...!<
'*'
Hai Tawaf-e-Hajj Ka Hungama Agar Baqi To Kya...!<
'*'
Kund Ho Kar Reh Gyi Momin Ki Taeg-e-Be Nayam...!<
'*'
Kis Ki Naumeedi Pe Hujjat Hai Ye Farman-e-Jadeed...!<
'*'
Hai Jihad Iss Dour Mein Mard-e-Musalman Par Haram...!<
'*'
<...>Dusra Musheer<...>
'*'
Khair Hai Sultani Jumhoor Ka Ghogha Ke Sherr...!<
'*'
Tu Jahan Ke Taza Fitnon Se Nahin Hai Ba-khabar...!<
'*'
<...>Pehla Musheer<...>
'*'
Hun, Magar Meri Jahan Beeni Batati Hai Mujhe...!<
'*'
Jo Mulukiyat Ka Ek Parda Ho, Kya Us Se Khatar!..!<
'*'
Hum Ne Khud Shahi Ko Pehnaya Hy Jumhuri Libas..!<
'*'
Jab Zara Aadam Huwa Hy Khud Shanas-o-Khud Nigar..!<
'*'
Karobar-e-Sheher Yari Ki Haqiqat Aur Hy..!<
'*'
Ye Wujood-e-Meer-o-Sultan Par Nahin Hy Munhasar..!<
'*'
Majlis-e-Millat Ho Ya Parvaiz Ka Darbar Ho..!<
'*'
Hy Wo Sultan, Ghair Ki Khaiti Pe Ho Jis Ki Nazar..!<
'*'
Tu Ne Kya Dekha Nahin Maghrib Ka Jumhuri Nizam..!<
'*'
Chehra Roshan, Andrun Changaiz Se Tareek Tar..!<
'*'
<..>Teesra Musheer<..>
'*'
Rooh-e-Sultani Rahe Baqi To Phir Kya Iztarab..!<
'*'
Hy Magar Kya Us Yahudi Ki Shararat Ka Jawab?..!<
'*'
Wo Kalem Be-Tajali, Wo Maseh Be-Saleb..!<
'*'
Neest Peghambar Wa Lekin Dar Baghal Darad Kitab..!<
'*'
Kya Bataun Kya Hy Kafir Ki Nigah-e-Parda Souz..!<
'*'
Mashriq-o-Maghrib Ki Qaumon K Liye Roz-e-Hisab..!<
'*'
Is Se Barh Kar Aur Kya Ho Ga Tabiat Ka Fasad..!<
'*'
Torh Di Bandon Ne Aaqaon Ke Khaimon Ki Tanab..!<
'*'
<...>Chotha Musheer<...>
'*'
Torh Us Ka Rumatul Kubra K Aewanon Mein Dekh..!<
'*'
Aal-e-Ceaser Ko Dikhaya Hum Ne Phir Ceaser Ka Khawab..!<
'*'
Kon Behar-e-Rome Ki Moujon Se Hy Lipta Huwa..!<
'*'
Gah Balad Choon Sanobar Gah Nalad Choon Rabab..!<
'*'
<...>Teesra Musheer<...>
'*'
Mein To Us Ki Aaqabat Beeni Ka Kuch Qael Nahin..!<
'*'
Jis Ne Afrangi Siasat Ko Kiya Yun Behijab..!<
'*'
<...>Panchwan Musheer<...>
'*'
~Iblees Ko Mukhatib Kar Ke~
'*'
Ae Tere Souz-e-Nafas Se Kaar-e-Aalam Ustawar..!<
'*'
Tu Ne Jab Chaha, Kiya Har Pardagi Ko Ashikaar..!<
'*'
Aab-o-Gill Teri Hararat Se Jahan-e-Souz-o-Saaz..!<
'*'
Abla-e-Jannat Teri Taleem Se Danaye Kaar..!<
'*'
Tujh Se Barh Kar Fitrat-e-Aadam Ka Wo Mehram Nahin..!<
'*'
Sada Dil Bandon Mein Jo Mashoor Hy Parwardigar...!<
'*'
Kaam Tha Jin Ka Fakat Taqdees-o-Tasbeeh-o-Tawaf...!<
'*'
Teri Gairat Se Abad Tak Sar Nigun-o-Sharamsaar...!<
'*'
Garcha Hain Tere Mureed Afrang Ke Sahir Tamam...!<
'*'
Ab Mujhe In Ki Farasat Par Nahin Hy Atibar...!<
'*'
Ye Yahoodi Fitna Gar, Wo Rooh-e-Mazdak Ka Barooz...!<
'*'
Har Kaba Hone Ko Hy Is K Janoon Se Tar Tar...!<
'*'
Zagh-e-Dashti Ho Raha Hy Humsar-e-Shaheen-o-Chargh...!<
'*'
Kitni Sura'at Se Badalta Hy Mazaaj-e-Rozgar...!<
'*'
Cha Gyi Ashufta Ho Kar Wusat-e-Aflaak Par...!<
'*'
Jis Ko Nadani Se Hum Samajhe The Ek Musht-e-Ghubar...!<
'*'
Fitna-e-Farda Ki Haibat Ka Ye Alam Hy K Aaj...!<
'*'
Kanpte Hain Kohsar-o-Murghzar-o-Ju'ay bar...!<
'*'
Mere Aaqa! Vo Jahan Zair-o-Zabar Hone Ko Hy...!<
'*'
Jis Jahan Ka Hy Fakat Teri Sayadat Par Madar...!<
'*'
'*'
<...>Iblees<...>
'*'
~~Apne Musheeron Se~~
'*'
Hai Mere Dast-e-Tasarruf Mein Jahan-e-Rang O Bu...!<
'*'
Kya Zameen, Kya Mehar O Mah, Kya Asaman-e-Tu Ba Tu...!<
'*'
Dekh Lain Ge Apni Ankhon Se Tamasha Gharb-o-Sharak...!<
'*'
Main Ne Jab Garma Diya Aqwam-e-Europe Ka Lahoo...!<
'*'
Kya Imamane Siasat, Kya Kaleesa Ka Shayookh...!<
'*'
Sub Ko Diwana Bana Sakti Hai Meri Aik Hoo...!<
'*'
Kargah Sheesha  Jo Nadan Samjhta Hai Usse...!<
'*'
Tor Kar Dekhe To Iss Tehzeeb Ke Jam-o-Saboo!...!<
'*'
Dast-e-Fitrat Ne Kiya Hai Jin Girebanon Ko Chaak...!<
'*'
Mazdaki Mantaq Ki Souzan Se Nahin Hote Rafoo...!<
'*'
Kab Dara Sakte Hain Mujh Ko Ishtaraki Koocha Gard...!<
'*'
Ye Preshan Rozgar, Ashufta Maghz, Ashufta Mu...!<
'*'
Hai Agar Mujh Ko Khatar Koi To Uss Ummat Se Hai...!<
'*'
Jis Ki Khatstar Mein Hai Ab Tak Shirar-e-Arzu...!<
'*'
Khal Khal Is Qaum Mein Ab Tak Nazar Ate Hain wo..!<
'*'
Karte Hain Ashak-E-Sehargahi Se Jo Zalim Wazoo..!<
'*'
Janta Hy Jis Pe Roshan Batin-e-Ayyam Hy..!<
'*'
Mazdkiat Fitna-e-Farda Nahin, Islam Hy..!<
'*'
Janta Hun Main Ye Ummat Hamal-e-Quran Nahin..!<
'*'
Hy Wohi Sarmaya'dari Banda-e-Momin Ka Deen..!<
'*'
Janta Hun Main K Mashriq Ki Andheri Raat Mein..!<
'*'
Be Yad-e-Baiza Hy Peeran-e-Haram Ki Asten..!<
'*'
Asre-e-Hazir K Taqazaon Se Hy Lekin Ye Khof..!<
'*'
Ho Na Jaye Ashakara Shara-e-Peghambar Kahin..!<
'*'
Alhazar! Aaeen-e-Peghambar Se Sou Bar Alhazar...!<
'*'
Hafiz-e-Namoos-e-Zan, Mard Azma, Mard-e-Afreen...!<
'*'
Mout Ka Pegham Har Nu-e-Ghulami K Liye..!<
'*'
Ne Koi Faghfur-o-Khaqan, Ne Fareq-e-Reh Nashen..!<
'*'
Karta Hy Doulat Ko Har Aaludgi Se Pak Saaf..!<
'*'
Munemon Ko Maal-o-Doulat Ka Banata Hy Ameen..!<
'*'
Is Se Barh Kar Aur Kya Fikar-o-Amal Ka Inqilaab...!<
'*'
Padshahon Ki Nahin, Allah Ki Hai Ye Zameen!...!<
'*'
Chasme Alam Se Rahe Poshida Ye Aaeen To Khoob...!<
'*'
Ye Ghanimat Hai Ke Khud Momin Hai Mehroom-e-Yaqeen...!<
'*'
Hai Ye Behter Elahiyat Mein Uljha Rahe...!<
'*'
Ye Kitab Ullah Ki Taweelat Mein Uljha Rahe...!<
'*'
Tor Dalain Jis Ki Takbeerain Talism-e-Shash Jihat...!<
'*'
Ho Na Roshan Uss Khuda Andaish Ki Tareek Raat...!<
'*'
Ibne Mariam Mar Gya Ya Zinda Javaid Hai...!<
'*'
Hain Sifat-e-Zaat-e-Haq, Haq Se Judda Ya Ayn Zaat?...!<
'*'
Ane Wale Se Maseeh-e-Nasiri Maqsood Hai...!<
'*'
Ye Mujaddid, Jis Mein Hon Farzand-e-Mariam Ke Sifat?...!<
'*'
Hain Kalam Ullah Ke Alfaz Hadis Ya Qadeem...!<
'*'
Ummat Marhoom Ke Hai Kis Aqeede Mein Nijat?...!<
'*'
Kya Musalman Ke Liye Kafi Nahin Iss Dour Mein...!<
'*'
Ye Elahiyat Ke Tarshay Huwe Laat- O-Manaat?...!<
'*'
Tum Isse Begana Rakho Alam-e-Kirdar Se...!<
'*'
Ta Bisat-e-Zindagi Mein Iss Ke Sub Muhre Hon Maat...!<
'*'
Khair Issi Mein Hai, Qayamat Tak Rahe Momin Ghulam...!<
'*'
Chor Kar Auron Ki Khatir Ye Jahan-e-Be-Sabat...!<
'*'
Hai Wohi Shair-o-Tasawwuf Iss Ke Haq Mein Khoob Tar...!<
'*'
Jo Chupa De Iss Ki Ankhon Se Tamasha-e-Hayat...!<
'*'
Har Nafas Darta Hun Iss Ummat Ki Baidari Se Mein...!<
'*'
Hai Haqiqat Jis Ke Deen Ki Ahtisaab-e-Kainat...!<
'*'
Mast Rakho Zikar-o-Fikar-e-Subhgahi Mein Isse...!<
'*'
Pukhta Tar Kar Do Mazaaj-e-Khanqahi Mein Isse...!<
'*'
TANHA_KHAKI

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya