Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Monday, 11 June 2012

bholi bhali larki thi Aankhon mein jugnoo bhar kay woh sajjan se milnay nikli thi

Aik bhooli bhasri duniya ki aik bholi bhali larki thi
Aankhon mein jugnoo bhar kay woh sajjan se milnay nikli thi

Mathay par jis kay jhoomar tha pairon mein jis kay payal thi
Woh jo thori si siyani thi or thori pagal thi

Jis ko dekh kar mosam bhi deewana sa ho jata tha
Woh larki soti jagti si kisi khuwab ka hissa lagti thi

Woh tareekh ka koi hissa thi jo raaz anokhay kholti thi
Paishani par roshan ik chaand sa palkon par jis kay sitaray se thay

Lagti nai kuch bhi apni magar ho bhaithay hum khud se paaraye se
Na pocho kaisay jeetay hum na pocho kaisay maat hui

Woh larki pagal pagal se
khakiG

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya