Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Monday, 11 June 2012

Ek larki anjan jga ki Ek bholi sort wali larki, nain nashilay wali larki, Mujhe darte darte daikhti hay,

Ek larki anjan jga ki
***IMRAN KHAKI***

Ek larki anjan jga ki
Ek bholi sort wali larki,
nain nashilay wali larki,
Mujhe darte darte daikhti hay,
Sab jane wale logun se,
Ksi benaam jga ka pochhti hay,
Koi jhoti tassali deta hay,
Bs pas hi hay koi kehta hay,
Wo dar k maare logun se,
Semti semti rehti hay,
Main aksar usko daikhta hun,
Wo mujhko daikhti rehti hay,
Shayed k wo apne dil ki,
Batain kehna chahti hay,
Ek bholi sort wali larki,
Mujhe dil main bsana chahti hay,
Un bheegi bheegi zulfun ko,
Narm gudaz gaalun ko,
Pholun jaisay hontun ko,
Teekhay teekhay nainun ko,
Apne dil ma chhupana chahta hun,
Lekin wo anjan c larki,
Sehmi sehmi rehti hay,
Apne dil ki sunti hay,
Mujhse kuch na kehti hay,
Ek bholi sort wali larki,
Nain nashilay wali larki.
KHAKIG

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya