PO@T RAZAB TABREZ
***IMRAN KHAKI***
Dard k har Saans me, HoOk hai Gehrai hai
Sanwli si Sham ! Dekho, Phir se Laut aai hai
Hath ki Majburi se, Daman k PhelaO Tak
Qismat is Faqeer Par, Kitna Muskurai hai
Jisko Chahe Khwab me, Bula k Mautbar karen
Aapka Zmana hai, Aapki Khudai hai
Yaad aur Khyal ki, Jorriyan si Banti hen
Dil k Shamyanon me, Roz ik Sagai hai
Kitne Zakhm Cheele Hen, ik NasoOr Pane ko
Kesi Dil Azaari hai, Kitni Khud Stai hai
Be'HisSi k Takht Pe, Brajmaan Betha hun
Mayusiyon ka Taaj hai, Ryasat e Tanhai hai
Namurad MehfilOn me, Admi k Ishq ko
Hamesh ik Toqeer hai, Hamesh Pazeerai hai
Parda e Basarat par, Tum ne Jisko Taanka tha
Nafraton ka PhoOl Wo, Ankh ki Kamai hai
Sardi e Nigah Tak, Badan ki PhoOnk k liYe
Lahu k Cheente Mal k Aik Aag si Lagai hai
Taveez e RAZAB ! kholte Hi Muskura k Hans Diye
saQi ! Khaksaar hai, Apka Shedaihai.
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya