PO@T RAZAB TABREZ
***IMRAN KHAKI***
Jadu k liye, Sharbati Aghosh Kahan hai
Nigah ka Nazar k liye, Josh Kahan hai
Titli thi 16 Saal me, To 20 me Hashar
Dil Panchi Ban k Urr Gya, To Dosh Kahan hai
Zulfon k PhoOl Kis liye Lehak me Aagay
Hum Ne To Yunhi Pucha ! Gul 'Frosh Kahan hai
Ithla k Tabasum me, Ya Dba k kbhi ankh
Adaen Mujh se Puchti hen, Hosh Kahan hai
Bala se Husn ki Zuban Khamosh hai Magar
Zuban Ko Chhor Dekhye ! Khamosh Kahan hai
Aksar Mujhe Kuch Aahaton Ne Yun Jaga dia
Subeeha ! Jese Puche, K Santosh Kahan hai
Saqi Shama Jala k, Ab Bechain Phir Raha
Botal Alag Udas ! Baada Nosh kahan hai
Kya Janye ! K Un k Bina Bazm e Tarab me
Josh kahan Kho gya, Kharosh kahan hai
Wo Raat ki Rani ka Khud Shikaar Hogya
Ab Jisko Kahen Chand, Wo Madhosh kahan hai
RAZAB ki Jab Bhi Talab Hui, Dast e Hina ko
Be'Sakhta Pukara ! Sarfrosh Kahan hai>
KHAKIG
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya