PO@T RAZAB TABREZ
***IMRAN KHAKI***
Kamaan bhi hai, Kuch Teer bhi hen, Hazrat ka Nishana kya kahye
Shikaar bhi hai Par Waar Nahi, Nazron ka lajjana Kya kahye
KhurSheed Miyan ! Tum Chupte kyu?" kal Us ne isTafsaar kia
Main DoOb gya Teri Ankhon me", Suraj ka Bahana kya kahye
Jab DhoOp Barhi, gHar Bech dia, is NanGi Chhat me kOn rhe
Han ! beth rahenge Chhaon main, Palkon ka Thikana kya kahye
Un NainOn me sub PhoOlon ki Reh Reh k Baharen khilti hen
Ab kanwal ka QisSa kon kahe, NarGis ka Zmana kya kahye
Sunte hen k Doron me bhar kar ik Saqi Madira Bechta hai
GlasS bina hi Saqi ka, SharBat ka Pilana kya kahye
Hum Ehal e Qalm hen Ankhon ko, Auraaq se Ziada Parhte hen
Sholay ki Haqiqat kya likhye, ShaBnam ka Fasana kya kahye
Jo Ankh k Til se Gehra ho, jo apni Zaat pe Pehra ho
Hai gHazab Khuda ka kya inSan, Wo RAZAB Deewana kya kahye.
khakiG
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya