<HIJAR K ZALIM>
<=.....AZAAB===>
Poet Kashif Nadeem
Guzri Hai Umar Hijar K Zalim Azaab Mein
Koi To Khata Ho Gai Ho Gi Shabaab Mein
Guzri Sehar Bhi Younhi Jawani Guzar Gai
Ab Kon Aa Base Dil-E-Khana Khrab Mein
Lehjay Ko Chor Khat Humain Pakra De Nama-E-Bar
Kuch To Likha Hai Us Ne Khaton K Jawab Mein
Mujh Ko To Isi Raz Se Wabastagi Si Hai
Meri To Pori Umar Kate Gi Sawaab Mein
Wo Ayse Meri Zaat Mein Tehleel Ho Gia
Jaise Khili Ho Rat Ki Rani Gulab Mein
Na Kaam Hasraton Ka Nateeja Mofeed Tha
Shamil Wo Gia Hai Dil-E-Kamyab Mein
Kitna Sakhi Tha Mere Samandar Ka Hosla
Main Ne Bhanor Samaita Hai Laa Kar Habaab Mein
Kajal Bhare Ashkon Ka Bikhra Howa Tha Rang
Tasweer Meri Rakh K Wo Soya Kitab Mein
Kashif Dayar-E-Ghair Mein Khushian Mili To Hain
Mera To Naam Darj Hai Meri Kitab Mein..............!
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya