(WRITTEN BY RAZAB)
Mhbt ! Khud Chali jaey, To illat ka FasoOn kya hai
Tu ! Mere Paas Reh jaey, To Qillat ka FasoOn kya hai
Marham ! Waqt Na Rakhe, To Zakhmo ka Mdawa kya
Hansi pe laB Na Aaey to, Jabillat ka FasoOn kya hai
Pyalay me Para ho to, Zehar ki kya Haqiqat hai
Na jab tak KhoOn me Aaey, To Shiddat ka FasoOn kya hai
Jo Ashiq ! Khud hi Tore To, Thikana hai Kahan But ka
Pujari jo Na Apnaey, To Biddat ka FasoOn kya hai
Qyamat laakh iThlaey, Shabab e Naaz me Lekin
Nazar jo Rukh Na Sehlaey, To Hiddat ka FasoOn kya hai
Khuda ka Khof Na ho to, Haya ka Kya Nishan Baki
Nikah Takmeel Na Paey, To iDDat ka FasoOn kya hai
Baras k Sare Mausam to, Bandhe hen aik KolhoO se
Bashar Na Gul Khilaey jo, To Jiddat ka FasoOn kya hai
RAZAB ! Toqeer k Sikkay, Jahan tak ho Kmaey Jaa
Khuda Na Azmaey jo, To Zillat ka FasoOn kya hai
khaki G
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya