Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday, 30 October 2012

Qazaaq Ankhen Gulaal Chehra, Badan pe Salwat Nishan ko Tarse


PO@T RAZAB TABREZ
**IMRAN KHAKI**

Qazaaq Ankhen Gulaal Chehra, Badan pe Salwat Nishan ko Tarse
Liapt'ta Anchal Simat'ta Daman, laMs me Tere iMan ko Tarse

Lacheeli Baahen Uthen to Tere Badan ko Ese Kaman kar den
Har aik Qafi har ik Kavita, Asar me Tere Byan ko Tarse

Koi Humakta Garam TaNafus, Koi Chatakta Sureela NagHma
Dharkte Seene k SahilOn me, koi leHar to Tufan ko Tarse

Namud Komal, Wajud Resham, Thakan ko Chunti AgHosh e Niswaan
Mere Machalte gHayoOr Jazbe, Dua me Teri Aman ko Tarse

Wo Neeli Nas me Syaal Jesi, Nashay ko jaPti Nabz ki Maala
ShraB ! Jese Gahak ko Dhunde, Khumar SoOd o Zyan ko Tarse

Sharar se Uljha Agan se Khela, Ye Shoq Akhir ko laUt aaya
Twaf e Zahir to kar lia aB, Nazara Deed e Nehaan ko Tarse

Sabhi se Makhfi Khudi pe Afsha, RAZAB ! Bta de ye Raaz kya hai
Qareena ab ye Baeed kar de, JazaB bhi ab to Ayaan ko Tarse
KHAKIG

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya