Artist: Nusrat Fateh Ali Khan
Album: Yadon ke Sayeay
Vol 06
Title: Ae Kash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judai Doon
Genre: Geets & Ghazals
Year: 1990
='="="="="="="='=
._.-._.'KASH'._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ae kash tujhe aisa ik zakhm-e-judai dun...!<
+
Jab tees koi chamke mein tujh ko dikhayi dun...!<
+
Haan mein ne tujhe chaha inkaar nahi mujh ko...!<
+
Yeh jurm to sabit hy, kya is ki safai dun?...!<
+
Jis rooz kabhi tera deedar na ho paaye...!<
+
Mein apni hi Aankhon ko nabena dikhai dun...!<
+
Maghroor hy tu kitna sirf aik sanam bun ker...!<
+
Tu chahe to mein tujh ko tun mun ki khudai dun...!<
+
Tujh sa koi dil wala mehsoos karay mujh ko...!<
+
Mein geet nahi aisa jo sub ko sunayi dun...!<
+
Ik umar K baad apne chit-chor ko pakra hy...!<
+
Mein kaise tujhe apni baahon se rihayi doon?...!<
+
Ae kash tujhe aisa ik zakhm-e-judai dun...!<
+
Jab tees koi chamke mein tujh ko dikhayi dun...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Retyp date
Sun 30/12/12
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya