PO@T
Mohsin Naqvi
+
TEXT By
IMRAN KHAKI
+
Ab K youn B teri zulfon ki shikkan tooti hy_!<
+
Rang phoote, kahin khushbu ki rasaan tooti hy_!<
+
Maut ae hy K taskeen ki saa'at Aai_!<
+
Saans tooti hy K sadiyon ki thakkan tooti hy?_!<
+
Seena-e-gul jahan nakaht B graan thehri thi_!<
+
Teer ban kar wahan suraj ki kiran tooti hy_!<
+
Dil shikasta to kai baar huway tha lekin_!<
+
Ab K yun hy K har ik shakh-e-badan tooti hy_!<
+
Itni be'rabt muhabbat B kahan thi apni_!<
+
Darmiyan se kahin zanjeer-e-sukhan tooti hy_!<
+
Aik shola K teh-e-khaima-e-jaan lapka_!<
+
Aik bijli K sar-e-sehan-e-chaman tooti hy_!<
+
Silsla tujh se bicharne pe kahan khatam huwa_!<
+
Ik zamane se raah-o-rasam kahan tooti hy_!<
+
Mere yaron K tabasum ki kiran maqtal main_!<
+
Nok-e-naiza ki tarah zere kafan tooti hy_!<
+
Raiza raiza main bikhrta giya har soo Mohsin_!<
+
Sheesha sheesha meri sangeen_e_fun tooti hy_!<
+
Khaki.G
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya