TEXT BY
ALI IMRAN QADRI
Poet
PEER NASEER_O_DEEN
NASEER GULDAVI
.
.
.
Base Hain Ap Mere Dil Mai Umar Bhar K Liye
Sadaf Bana Tha Ye Shayed Isi Ghur K Liye
Balaa Kharedi Hai Main Ne Ye Umar Bhar K Liye
Tumhari Zulf Ka Soda Hai Mere Sar K Liye
Jo Be.Garz Na Ho Jis Main Na Ho Khalos Koi
Salam Aise Taluk ko Umar Bhar K Liye
Shab.E.Firaq Ki Lazat Kahaan Naseeb Unahhe
Duayen Mangte Rehte Hain Jo Sehr K Liye
Howa Yahi K Rooke Bazm.E.Gair Mai Ja Kar
Irada Kar K Chale The Wo Mere Ghar K Liye
Humare Dil Ko Mataay.E.Hayat Kab Samja
Nishana Chahye Us Shokh Ko Nazar K Liye
Jo Dastan.E.Gham.o.Dard Ka Kholasa Ho
Muje Wo Ashaq Hai Darkar Chashm.E.Tar K Liye
Hawas Ki Ankh Se Aojal Hai Bandgi Ka Muqam
Alv.e.Ajza Hi Meraaj Hai Bashar K Liye
Adam Ko Le K Chala Hoon Naseer Daagh.e.Fraaq
Ye Zaad.E.Raah Boht Hai Muje Safar K Liye
And
BoOK NAME
PAIMANA E SHAB
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya