Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Saturday, 2 February 2013

Ab tak to noor-o-nikhat-o-rang-o-sada kahun BY Ahmad Nadeem Qaasmi

='="="="="="="='=
Po@t Ahmad
Nadeem Qaasmi
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab tak to noor-o-nikhat-o-rang-o-sada kahoon...!<
'*'
Main tujh ko chu sakoon to khuda jane kya khaoon?...!<
'*'
Lafzon se un ko pyar hy mafhoom se mujhe...!<
'*'
Wo gul kahein jise main tera naqsh-e-pa kahoon...!<
'*'
Ab justajoo hy tere jafa K jawaaz ki...!<
'*'
Ji chahta hy tujhe wafa Aashna kahoon...!<
'*'
Sirf is K liye K ishq isi ka zahoor hy...!<
'*'
Main tere husn ko B saboot-e-wafa kahoon...!<
'*'
Tu chal diya to kitne haqaiq badal gaye...!<
'*'
Najm-e-sehar ko marqad-e-shab ka diya kahoon...!<
'*'
Kya jabr hy? K buth ko B kehna parhe khuda...!<
'*'
Wo hy khuda to mere khuda tuj ko kya kahoon?...!<
'*'
Jab mere muh mein meri zubaan hy to Q na mein...!<
'*'
Jo kuch kahoon' yaqeen se kahoon' barmala kahoon...!<
'*'
>
'*'
Kya jane kis safar pe rawana hun azal se main?...!<
'*'
Har intiha ko ek nayi ibtada kahoon...!<
'*'
Ho Q na muj ko apne mazaq-e-saqoon pe naaz...!<
'*'
ghalib ko kayenat-e-saqoon ka khuda kahoon...!<
'*'
==>END<==
KHAKI.G
05:75 pm
Sat 02.02.13

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya