Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Saturday, 30 March 2013

Silsalah-e-roz-o-shab By Iqbal (Masjid-e-Qurtuba)

PO@T
Sir Dr Allama Iqbal
(Haspania Ki Sarzameen, Bil-Khasoos Qurtaba Mein Likhi Gyi)
='="="="="="="='=
Masjid-e-Qurtuba
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Silsalah-e-roz-o-shab, naqsh gar-e-hadsaat...!<
+
Silsalah-e-roz-o-shab, asal-e-hayat-o-mamaat...!<
+
Silsalah-e-roz-o-shab, taar-e-hareer-e-do rang...!<
+
Jis se banati hy zaat apni Qaba'ay sifat...!<
+
Silsalah-e-roz-o-shab, saaz-e-azal ki faghan...!<
+
Jis se dikhati hy zaat zair-o-bam-e-mumkinaat...!<
+
Tujh ko parakhta hy ye, mujh ko parakhta hy ye...!<
+
Silsalah-e-roz-o-shab, sayr fee kainat...!<
+
Tu ho agar kam ayaar, main hun agar kam ayaar...!<
+
Mout hy teri baraat, mout hy meri baraat...!<
+
Tere shab-o-roz ki aur haqiqat hy kya?...!<
+
Aik zamane ki ro jis mein na din hy na raat...!<
+
Aani-o-fani tamam mojazaat haye gunar...!<
+
Kaar-e-jahan be'sabaat, kaar-e-jahan be'sabaat...!<
+
Awwal-o-akhir fana, batin-o-zahir fana...!<
+
Naqsh-e-kuhan ho K nau, manzil-e-akhir fana...!<
+
Hy magar is naqsh mein rang-e-sabaat-e-dawam...!<
+
Jis ko kiya ho kisi mard-e-khuda ne tamam...!<
+
Mard-e-khuda ka amal ishq se sahib firogh...!<
+
Ishq hy asal-e-hayat, mout hy is par haraam...!<
+
Tund-o-subak sair hy gharcha zamane ki ro...!<
+
Ishq khud ek sayl hy, sayl ko leta hy thaam...!<
+
Ishq ki taqweem mein asar-e-rawan K sawa...!<
+
Aur zamane B hain jin ka nahin koi naam...!<
+
Ishq dam-e-Jibreel, ishq dam-e-mustafa (S.A.W.)...!<
+
Ishq Khuda ka rasool, ishq Khuda ka kalaam...!<
+
Ishq ki masti se hy paikar-e-gil tabnak...!<
+
Ishq hy sehba'ay khaam, ishq hy kaas-ul-kiraam...!<
+
Ishq faqeeh-e-haram, ishq ameer junood...!<
+
Ishq hy ibn-ul-sabeel, is K hazaron maqam...!<
+
Ishq K mizraab se naghma'ay taar-e-hayat...!<
+
Ishq se noor-e-hayat, ishq se naar-e-hayat...!<
+
Ae haram-e-Qurtuba! Ishq se tera wujood...!<
+
Ishq sarapa dawam, jis mein nahin raft-o-bood...!<
+
Rang ho ya khisht-o-sang, chang ho ya harf-o-soot...!<
+
Moajaza-e-fan ki hy khoon-e-jigar se namood...!<
+
Katra-e-khoon-e-jigar sil ko banata hy dil...!<
+
Khoon-e-jigar se sada souz-o-suroor-o-surood...!<
+
Teri fiza dil faroz, meri nawa sina soz...!<
+
Tujh se dilon ka huzoor, mujh se dilon ki kushood...!<
+
Arsh-e-muala se kam sina'ay Adam nahin...!<
+
Garche kaf-e-khak ki had hy sipihr-e-kubood...!<
+
Pekar-e-noori ko hy sajda meyasir to kya?...!<
+
Is ko meyasir nahin soz-o-gudaaz-e-sujood...!<
+
Kafir-e-hindi hun main, dekh mera zauq-o-shauq...!<
+
Dil mein Salat-O-Durood, lab pe Salat-O-Durood...!<
+
Shauq meri Le main hy, shauq meri Ne mein hy...!<
+
Naghma'ay ALLAH HOO mere rag-e-pe mein hy...!<
+
Tera jalal-o-jamal, mard-e-khuda ki daleel...!<
+
Wo B Jaleel-o-Jameel, tu B Jaleel-o-Jameel...!<
+
Teri bina paidar, tere sutoon be'shumar...!<
+
Sham K sehra mein ho jaise hujoom-e-nakheel...!<
+
Tere dar-o-baam par wadi-e-ayman ka noor...!<
+
Tera minaar-e-buland jalwagah-e-Jibreel...!<
+
Mit nahin sakta kabhi mard-e-musalman K hy...!<
+
Is ki azanon se fash sir-e-Kaleem(A.S.)-o-Khalil(A.S.)...!<
+
Is bi zameen behadood, is ka ufaq be'sooghoor...!<
+
Is K samundar ki mouj, dajla-o-danyob-o-neel...!<
+
Is K zamane ajeeb, is K fasane ghareeb...!<
+
Ehad-e-kuhan ko diya is ne payam-e-raheel...!<
+
Saqi arbab-e-zauq, faris-e-maidan-e-shauq...!<
+
Badah hy is ka raheeq, taeg hy is ki aseel...!<
+
Mard-e-sipahi hy wo, is ki zirah LA ILAHA...!<
+
Saya-e-shamsheer mein is ki panah LA ILAHA...!<
+
Tujh se huwa ashkara banda-e-momin ka raaz...!<
+
Is K dino ki tapish, is ki shabon ka gudaazg...!<
+
Is ka maqam buland, is ka khayal azeem...!<
+
Is ka suroor, is ka shauq, is ka niaz, is ka naaz...!<
+
Hath hy ALLAH ka banda-e-momin ka hath...!<
+
Ghalib-o-kaar'afreen, kaar'kusha, kaar'saaz...!<
+
Khaki-o-noori nihad, banda-e-mola sifat...!<
+
Har do jahan se ghani is ka dil-e-beniaz...!<
+
Us ki umeedain qaleel, us ki maqasid jaleel...!<
+
Us ki ada dil faraib, is ki nigah dil nawaz...!<
+
Naram dam-e-guftugu, garam dam-e-justuju...!<
+
Razm ho ya bazm ho, pak dil-o-pak baz...!<
+
Nukta'ay parkar-e-haq, mard-e-khuda ka yaqeen...!<
+
Aur ye alam tamam weham-o-tilism-o-majaz...!<
+
Aqal ki manzil hy wo, ishq ka hasil hy wo...!<
+
Halqa-e-afaq mein garmi-e-mehfil hy wo...!<
+
Kaaba arbab-e-fan! Sitwat-e-deen-e-mubeen...!<
+
Tujh se haram martabat andlusiyon ki zameen...!<
+
Hy teh-e-gardoon agar husn mein teri nazeer...!<
+
Qalb-e-musalman mein hy, aur nahi hy kahin...!<
+
Aah wo mardan-e-haq! Wo arabi shehsawar...!<
+
Hamil-e-khulq-e-azeem, sahib-e-sidq-o-yaqeen...!<
+
Jin ki hukumat se hy fash ye ramz-e-ghareeb...!<
+
Saltanat ahl-e-dil faqar hy, shahi nahin...!<
+
Jin ki nigahon ne ki tarbiat-e-sharq-o-gharb...!<
+
Zulmat-e-yorap mein thi jin khird rah been...!<
+
Jin K lahoo ki tafail Aaj B hain andlasi...!<
+
Khush dil-o-garam ikhtalaat, sada-o-roshan jabeen...!<
+
Aaj B is dais mein Aam hy chasm-e-ghazal...!<
+
Aur nigahon K teer Aaj B hain dil nashen...!<
+
Boo-e-yaman Aaj B is ki hawaon mein hy...!<
+
Rang-e-hijaz Aaj B is ki nawaon mein hy...!<
+
Didah-e-anjum mein hy teri zameen,asman...!<
+
Aah K sadiyon se hy teri faza be'azan...!<
+
Kon si wadi mein hy? Kon si manzil mein hy...!<
+
Ishq-e-bala khaiz ka kafla-e-sakht jaan...!<
+
Dekh chuka almani, shorish-e-islah-e-deen...!<
+
Jis ne na chore kahin naqsh-e-kuhan K nishan...!<
+
Harf-e-galat ban gayi ismat-e-peer-e-kunisht...!<
+
Aur huwi fikar ki kashti-e-nazuk rawan...!<
+
Chashme-e-francis B dekh chuki inqilab...!<
+
Jis se digargoon huwa magribiyon ka jahan...!<
+
Millat-e-roomi nazad kuhna prasti se peer...!<
+
Lazzat-e-tajdeed se wo B huwi phir jawan...!<
+
Rooh-e-musalman mein hy Aaj wohi iztarab...!<
+
Raaz-e-khudai hy ye, keh nahin sakti zuban...!<
+
Dekhiye is behar ki teh se uchalta hy kya?...!<
+
Gunbad-e-nilofari rang badalta hy kya?...!<
+
Wadi-e-kuhsaar mein garaq-e-shafaq hy sahab...!<
+
La'al-e-badkhashan K dhair chor gya aftab...!<
+
Sada-o-pursoz hy dukhtar-e-dehqan ka geet...!<
+
Kashti-e-dil K liye sayl hy ehad-e-shabab...!<
+
Aab-e-rawan-e-kabeer! Tere kinare koi...!<
+
Dekh raha hy kisi aur zamane ka khawab...!<
+
Alam-e-nau hy abhi parda-e-taqdeer mein...!<
+
Meri nigahon mein hy is ki sehar behijab...!<
+
Parda utha dun agar chehra-e-afkar se...!<
+
La na sake ga farang meri nawa'on ki taab...!<
+
Jis mein na ho inqilab, mout hy wo zindagi...!<
+
Rooh-e-ummam ki hayat kashmakash-e-inqilab...!<
+
Soorat-e-shamsheer hy dast-e-Qaza mein wo qaum...!<
+
Karti hy jo har zaman apne amal ka hisaab...!<
+
Naqsh hain sub na'tamam khoon-e-jigar K begair...!<
+
Naghma hy soda-e-kham khoon-e-jigar K begair...!<
+
(Wada-Al-Kabeer Qurtuba Ka Mashoor Darya Jis Ke Qareeb Hi Masjid-E-Qurtaba Waqiya hy)
+
==>END<==
KHAKI.G
11:00 pm
Sat 30/03/13

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya