Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Sunday, 14 April 2013

Nahin minnat kash-e-taab-e-shaneedan dastan By IQBAL

PO@T
Sir Dr Allama Iqbal
='="="="="="="='=
Tasveer-e-Dard
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Nahin minnat kash-e-taab-e-shaneedan dastan meri...!<
+
Khamoshi guftugu hy, be'zubani hy zuban meri...!<
+
Ye dastoor-e-zuban bandi hy kaisa teri mehfil mein...!<
+
Yahan to baat karne ko tarasti hy zuban meri...!<
+
Uthaye kuch waraq lale ne, kuch nargis ne, kuch gul ne...!<
+
Chaman mein har taraf bikhri huwi hy dastan meri...!<
+
Urha li Qumriyon ne, tutiyon ne, andleebon ne...!<
+
Chaman walon ne mil kar loot li tarz-e-faghan meri...!<
+
Tapak ae shama ansu ban K parwane ki ankhon se...!<
+
Sarapa darun hun, hasrat bhari hy dastan meri...!<
+
Elahi! Phir maza kiya hy yahan dunya mein rehne ka...!<
+
Hayat-e-javidan meri! na marg-e-naghaan meri...!<
+
Mera rona nahi, rona hy ye sare gulistan ka...!<
+
Wo gul hun main, khazan har gul ki hy goya khazan meri...!<
+
"Dareen hasrat sra umarist afsoon-e-jaras daram...!<
+
Za-faiz-e-dil tapeedan ha kharosh-e-be'nafas daram"...!<
+
Riyadh-e-dehr mein na-ashnaye bazm-e-ishrat hon...!<
+
Khushi roti hy jis ko, main wo mehroom-e-mussarat hun...!<
+
Meri bigharti huwi taqdeer ko roti hy goyai...!<
+
Main harf-e-zair-e-lab, sharminda' gosh-e-sama'at hun...!<
+
Preshan hun main musht-e-khaak, lekin kuch nahin khulta...!<
+
Sikandar hun K Aaeena hun ya gard-e-kadurat hun...!<
+
Ye sub kuch hy magar hasti meri maqsad hy Qudrat ka...!<
+
Sarapa Noor ho jis ki haqiqat, main wo zulmat hun...!<
+
Khazeena hun, chupaya mujh ko musht-e-khak-e-sehra ne...!<
+
Kisi ko kya khabar hy main kahan hun kis ki doulat hun?...!<
+
Nazar meri nahin mamnoon-e-sair-e-arsa-e-hasti...!<
+
Main wo chotti si dunya hun K ap apni walayat hun...!<
+
Na sehba hun na saqi hun, na masti hun na pemana...!<
+
Main is mai'khana-e-hasti mein har shay ki haqiqat hun...!<
+
Mujhe raaz-e-Do'alam dil ka Aaeena dikhata hy...!<
+
Wohi kehta hun jo kuch samne Aankhon K ata hy...!<
+
Atta aesa byan mujh ko huwa rangeen byabanon mein...!<
+
K baam-e-arsh K taa'ir hain mere hum zubanon mein...!<
+
Asar ye B hy ek mere junoon-e-fitna saman ka...!<
+
Mera aena'-e-dil hy qaza K raaz danon mein...!<
+
Rulata hy tera nazara ae hinduston! Mujh ko...!<
+
K ibrat khaiz hy tera fasana sub fasanon mein...!<
+
Diya rona mujhe aesa K sub kuch de diya goya...!<
+
Likha kalk-e-azal ne mujh ko tere noha khawanon mein...!<
+
Nishan-e-barg-e-gul tak B na chorh is bagh mein gul'cheen...!<
+
Teri Qismat se razm arayan hain baghbanon mein...!<
+
Chupa kar asteen mein bijliyan rakhi hain gardoon ne...!<
+
Anadil bagh K ghafil na baithen ashiyon mein...!<
+
Sun ae ghafil sada meri, ye aesi cheez hy ais ko...!<
+
Wazifa jaan kar perhte hain taair bostanon mein...!<
+
Watan ki fikar kar nadan! Musibat Aane wali hy...!<
+
Teri barbadiyon K mashware hain asmanon mein...!<
+
Zara dekh us ko jo kuch ho raha hy, hone wala hy...!<
+
Dhara kaya hy bhala ehd-e-kuhan ki dastnon mein...!<
+
Ye khamoshi kahan tak? Lazzat-e-faryad paida kar...!<
+
Zameen par tu ho aur teri sada ho asmanon mein...!<
+
Na samjho ge to mit jao ge ae hindustan walo...!<
+
Tumhari dastan tak B na ho gi daston mein...!<
+
Ye Aaeen-e-Qudrat hy, yehi asloob-e-Fitrat hy...!<
+
Jo hy rah-e-amal mein gaamzan, mehboob-e-fitrat hy...!<
+
Hawaida Aaj apne zakhm-e-pinhan kar K chorun ga...!<
+
Lahoo ro ro K mehfil ko gulistan kar K chorun ga...!<
+
Jalana hy mujhe har shama-e-dil ko souz-e-pinhan se...!<
+
Teri tareek raton mein charaghan kar K chorun ga...!<
+
Magar ghunchon ki surat hun dil-e-dard ashna paida...!<
+
Chaman mein musht-e-khak apni preshan kar K chorun ga...!<
+
Parona aik hi tasbeeh mein in bikhare danon ko...!<
+
Jo muskhil hy, to is mushkil ko asan kar K chorun ga...!<
+
Mujhe ae hum nasheen rehne de shughal-e-seena kawi mein...!<
+
K main dagh-e-mohabbat ko numayan kar K chorun ga...!<
+
Dikha doon ga jahan ko jo meri ankhon ne dekha hy...!<
+
Tujhe B surat-e-Aaeena hairan kar K chorun ga...!<
+
Jo hy pardon mein pinhan, chashm-e-beena dekh leti hy...!<
+
Zamane ki tabiyat ka taqaza dekh leti hy...!<
+
Kiya riffat ki lazzat se na dil ko ashna tu ne...!<
+
Guzri umer pasti mein misal-e-naqsh-e-pa tu ne...!<
+
Raha dil basta-e-mehfil, magar apni nigahon ko...!<
+
Kiya bairoon-e-mehfil se na hairat ashna tu ne...!<
+
Fida karta raha dil ko hasenon ki ada'on par...!<
+
Magar dekhi na is Aaeene mein apni ada tu ne...!<
+
Taassub chorh nadan! Dehr K Aaeena khane mein...!<
+
Ye tasverain hain teri jin ko samjha hy bura tu ne...!<
+
Sarapa nala-e-baidad-e-souz-e-zindagi ho ja...!<
+
Sapand Aasa girah mein bandh rakhi hy sada tu ne...!<
+
Safa'ay dil ko kiya araish-e-rang-e-taaluq se...!<
+
Kaf-e-Aaena par baandhi hy O nadan hina tu ne...!<
+
Zameen kya, asman B teri kaj beeni pe rota hy...!<
+
Ghazab hy satar-e-Quran ko chalipa kar diya tu ne...!<
+
Zuban se gar kiya touheed ka dawa to kya hasil?...!<
+
Banya hy butt-e-pindar ko apna khuda tu ne...!<
+
Kunwain mein tu ne Yousaf ko jo dekha B to kya dekha?...!<
+
Are Ghafil! Jo mutliq tha muqayyad kar diya tu ne...!<
+
Hawas bala'ay manbar hy tujhe rangeen byani ki...!<
+
Nasihat B teri surat hy, ek afsana khawani ki...!<
+
Dikha wo husn-e-alam souz apni chashme-purnam ko...!<
+
Jo tarpata hy parwane ko, rulata hy shabnam ko...!<
+
Nira nazara hi ae bu-al-hos maqsad nahin is ka...!<
+
Banaya hy kissi ne kuch samajh kar chashme-e-adam ko...!<
+
Agar dekha B us ne sare alam ko to kya dekha...!<
+
Nazar ayi na kuch apni haqiqat jaam se jam ko...!<
+
Shajar hy firqa arayi, taassuf hy samar is ka...!<
+
Ye wo phal hy K jannat se nikalwata hy adam ko...!<
+
Na utha jazba-e-khursheed se ek barg-e-gul tak B...!<
+
Ye riffat ki tamana hy K le urti hy shabnam ko...!<
+
Phira karte nahi majrooh-e-ulfat fikar-e-darman mein...!<
+
Ye zakhami Aap kar lete hain paida apne marham ko...!<
+
Mohabbat K sharar se dil sarapa noor hota hy...!<
+
Zara se beej se paida Riyaaz-e-Toor hota hy...!<
+
Dawa har dukh ki hy majrooh-e-taegh-e-arzoo rehna...!<
+
Elaj-e-zakham hy azad-e-ehsaan-e-rafoo rehna...!<
+
Sharab-e-bekhudi se ta falak parwaz hy meri...!<
+
Shikast-e-rang se sikha hy main ne ban K boo rehna...!<
+
Thame kya dida'-e-giryan watan ki noha khawani mein...!<
+
Ibadat chashm-e-shayar ki hy har dam ba'wazoo rehna...!<
+
Banayen kya samajh kar shakh-e-gul par ashiyan apna...!<
+
Chaman mein Aah! Kya rehna jo ho be abroo rehna...!<
+
Jo tu samjhe to azadi hy poshida mohabat mein...!<
+
Ghulami hy aseer-e-imtiaz-e-mawatu rehna...!<
+
Ye astagna hy, pani mein nigun rakhta hy saghar ko...!<
+
Tujhe B chahye misl-e-habab-e-Aabju rehna...!<
+
Na reh apnon se beparwa, issi mein khair hy teri...!<
+
Agar manzoor hy dunya mein ao begana khor! Rehna...!<
+
Sharab-e-rooh parwar hy mohabbat nu-e-insan ki...!<
+
Shikaya is ne mujh ko mast bejaam-o-saboo rehna...!<
+
Mohabbat hi se payi hy shafa bimaar qoumon ne...!<
+
Kiya hy apne bakht-e-khufta ko baidar qoumon ne...!<
+
Byaban-e-mohabbat dasht-e-ghurbat B, watan B hy...!<
+
Ye wairana Qafas B, ashiyana B, chaman B hy...!<
+
Mohabbat hi wo manzil hy K manzil B hy, sehra B...!<
+
Jaras B, karwan B, rahbar B, Rahzan B hy...!<
+
Marz kehte hain sub is ko, ye hy lekin marz aesa...!<
+
Chupa jis mein ilaj-e-gardish-e-charakh-e-kuhan B hy...!<
+
Jalana dil ka hy goya sarapa noor ho jana...!<
+
Ye parwana jo souzan ho to shama-e-anjuman B hy...!<
+
Wohi ek husn hy, lekin nazar ata hy har shay mein...!<
+
Ye sheerin B hy goya, bestoon B, kohkan B hy...!<
+
Ujaarha hy tameez-e-millat-o-aaeen ne Qoumon ko...!<
+
Mere ahl-e-watan K dil mein kuch fikar-e-watan B hy?...!<
+
Sakoot Aamoz tool-e-dastan-e-dard hy warna...!<
+
Zuban B hy hamare munh mein aur taab-e-sukhan B hy...!<
+
*Nameegar deed ko the rishta'ay da'ani raha kardam...!<
+
Hikayat-e-bood be payan, bakhamoshi ada kardam*...!<
+
==>END<==
Khaki.G

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya