PEGHAM-E-IQBAL
+
Po@t: IQBAL AZEEM
+
IMRAN KHAKI
+
Apne markaz se agar door nikal jao ge
+
Khwab ho jao ge afsano mein dhal jao ge
+
Ab to chehron K khad-o-khal B pehle se nahin
+
Kis ko maloom tha tum itne badal jao ge
+
Apne parcham ka kahin rang bhula mat dena
+
Surkh sholon se jo khelo ge to jal jao ge
+
De rahe hain tumhain to log rafaqat ka fareb
+
In ki tareekh parho ge to dehal jao ge
+
Apni mitti pe hi chalne ka saleqa sekho
+
Sang-e-mar'mar pe chalo ge to phisal jao ge
+
Khwab'gahon se nikalte hue darte Q ho?
+
Dhoop itni to nahin hy K pighal jao ge
+
Taiz Qadmon se chalo aur tasadam se bacho
+
Bheer mein sust chalo ge to kuchal jao ge
+
Hum'safar dhundo na rahbar ka sahara chaho
+
Thokarain khao ge to khud hi sambhal jao ge
+
Tum ho ek zinda jawed riwayat K chiragh
+
Tum koi shaam ka suraj ho K dhal jao ge?
+
Subh sadik mujhe matloob hy kis se mangon?
+
Tum to bhole ho, chraghon se behal jao ge
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya