*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
AFTAB AKBAR
*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Duniya mein gham hi gham thay, koi khushi nahi thi...!<
+
Soo dundne mein nikla, ik gham bhulane wala...!<
+
Wo mujh ko mil gaya tha, gham bhi bhala diye thay...!<
+
Par mujh ko lag gaya tha, wo gham zamane wala...!<
+
Wo aaya, aa K bitchrha, bas is ka gham hai baqi...!<
+
Kya khoob gham diya hai, sab gham mitanay wala...!<
+
Kaisay na mein btaon, sab ko gham-e-judai...!<
+
Jab ik yahi bacha hai, bas gham sunanay wala...!<
+
Herat hai mujh ko hoti, Q ishq is ko kehte...!<
+
Zalim jo khud hi gham hai, , sab gham bananay wala...!<
+
Sab mashwarha hain dete, tujh ko mein bhool jaun...!<
+
Dhundo naya mein koi, phir gham rulane wala...!<
+
Pagal hon chore dun mein, peecha tairay gamoon ka...!<
+
Q haath se ganwaa dun, yeh gham hansaney wala...!<
+
KHAKI.G
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya