Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Thursday, 25 February 2016

ilm-o-fun K dewane aashiqii se darte hain ( Khumar Barabankvi )

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Khumar Barabankvi

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
ilm-o-fun K dewane aashiqii se darte hain...!<
+
Zindagi K khwahan hain zindagi se darte hain...!<
+
Yun to hum zamane mein kab kisi se drtay hain?...!<
+
Aadmi K maare hain aadmi se darte hain...!<
+
Jal K aashyaan apna khaak ho chuka kab ka...!<
+
Aaj taq yeh aalam hai roshni se darte hain...!<
+
Le le zindagi yarab aur kuch saza day day...!<
+
Jee liye bohat, ab zindagi se drtay hain...!<
+
Jab na hosh tha hum ko dushmani se drtay they...!<
+
Ab jo hosh aaya hai dosti se darte hain...!<
+
Rehne day inhen naaseh tu yun hi andherey mein...!<
+
Kuch to hai jo deewany aagahi se darte hain...!<
+
Phool B jo hanstay hain, dil dhadakne lagta hai...!<
+
Ya hansi pay martay they, ya hansi se darte hain...!<
+
Touba aur jawani mein KHUMAR kya kehna...!<
+
Log aap jaisay hi mut'taqi se darte hain...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya