Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Wednesday, 3 February 2016

Mein kar K saaf dil apna adawat kar nahi sakta (Iram Qaisar)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Iram Qaisar

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Mein kar K saaf dil apna adawat kar nahi sakta...!<
+
Koi shikwah gilah tum se shikayat kar nahi sakta...!<
+
Agarchay waar karta hai mujh pay yeh jahan sara...!<
+
Zamane se magar mein to baghaawat kar nahi sakta...!<
+
Miley koi jo dil se to hamara  sar B haazir hai...!<
+
Rawa jo ho na milnay ka madarat kar nahi sakta...!<
+
Khowaboon aur khayalon ki jahan duniya basayen hum...!<
+
Taamer mein koi aisi imarat kar nahi sakta...!<
+
Taray qadmon mein rakhne hain mujhy to aasmaa saaray...!<
+
Mein khaali maang kar afshaan se ibaarat kar nahi sakta...!<
+
Mere hissay mein hon dukh to yeh Manzoor hai mujh ko...!<
+
Khasara ho tumhe jis mein tijarat kar nahi sakta...!<
+
Kahin aisa na ho K chaar so saaz char jayen...!<
+
Mein saanson se aulajne ki shararat kar nahi sakta...!<
+
Koi aisa tareeqa ho mein jis se jaan jaun raaz...!<
+
Teray dil mein utrney ki jasaarat kar nahi sakta...!<
+
Talawat ho zabanon par IRAM aur kufar seenon mein...!<
+
khudaaraa mein koi aisi ibadat kar nahi sakta...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya