Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Monday, 22 February 2016

Qaid mein guzray gi jo Umar baray kaam ki thi ( Parveen Shakir )

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
Parveen Shakir

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Qaid mein guzray gi jo Umar baray kaam ki thi...!<
+
Par mein kiya karti K zanjeer tare naam ki thi...!<
+
Jis K maathey pay mare bakht ka tarah chamka...!<
+
Chaand K doobnay ki baat isi shaam ki thi...!<
+
Mein ne hathon ko hi patwar banaya warna...!<
+
Ek tooti hui kashti marey kis kaam ki thi...!<
+
Wo kahani K abhi soyyan niklee bhi na theen...!<
+
Fikar har shakhs ko shehzadi K injaam ki thi...!<
+
Yeh howa kaise urra le gayi aanchal mera...!<
+
Yun satanay ki to aadat marey gunshaam ki thi...!<
+
Boojh uthaye huwe pharti hai hamara ab tak...!<
+
Aye zamee maa! tari yeh Umar to aaraam ki thi...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya