Po@t RAZAB TABREZ
***IMRAN KHAKI***
Ankahi k Lehjy Me, Bayaan Kuch Zaroori he
Saans Charrh Gya Lekin, Baat Phir Adhoori he
Haath Rakh k HontoN pr, Kehty hein k Boliye!
Husn ki Siyaasat bhi Kis qadar JamhoOri He
Roz Ghol Peeta Hun Zindagi ki DhoOp me
Aapki Jo SoOrat he, Sharbat-e-BazoOri he
ChoOm lun To Zeiba hein, Aap k ye Paa-e-Naaz
Ek Bashar ka Sadqa he, Aik ki MazdoOri he
Raat Din k Pheiry me, Kash Mujh ko Mil Jaay
Zaat me Jo Al'Amaan, Mushk me KastoOri he
Barq'Rau se Chalty hein, Ba'Wuzoo se Rehty hein
1 Ism-e-Ishq he, 1 ilM-e-Noori he
Pyar Phir se Ubhra he, Had se Gehri Aankhon me
Jaal Phir se Daalo Tum, 1 Lehar ki Doori he
Ghussa he K Sharm he, FarQ Tum ne Krna he
Gaal Tamtma'en gy, Unki to MajboOri he
Jaan ka Haseen Panchhi, Shaakh-e-Daar Urr Gya
Ab kaheen Na Jaay ga, Ye Jagah MansoOri he
Bait-Baazi me RAZAB! Zouq Deedni Hoga
Apni Bhi Pehchaan he, Unki Bhi Mash'hoOri he<~~
KHAKI*G
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya