*PO@T RAZAB*
***IMRAN KHAKI***
Aurat ka Chashm Ashna, aur Nam Shnas hai
Tum Dil kaho jise wo Bhikari GlasS hai
Wo Khuld k KoOche ki hai koi Ba Wazu si HoOr
Main Ghaib'Go Hargiz Nahi, lekin Qyas hai
Ye Zeest bhi Khudai Saheefay se Kam Nahi
Go Mit Chuki hai lekin Bashar ki Asaas hai
In Teekhe ZaviyOn se koi Naqsh to Bane
Teri Ankh aaj Qalm, Meri Jaan Qartas hai
Qabul e Jurm kar k Gar Anchal ka Kafan do
Main Smjh lunGa Badla Nahi hai QasSas hai
Bus Be Dili se hi kia, koi Jurm jab kia
Be'laZzati GunahOn me, Bus iShQ Khas hai
Farhad se NisBat Nahi, Par Pyar me RAZAB
Ravi hai aik Ankh, to Duji Byaas hai
KHAKIG
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya