PO@T RAZAB TABREZ
***IMRAN KHAKI***
Gaalon se laali PhoOt kar kuch Champai si hogai
Surmay se Mili Ankh to Kuch Surmai se hogai
Ik Ladki kal ShakoOk ki Baahon me ese Tul gai
Pehchan se Nikal gai, Aur AjnaBi si Hogai
Gesu Khule to Shams ka Kuch Mukhra Kala hogya
Abar ka Hosla Barha, Kuch TazGi si hogai
Vasal ki Aas Taakte Ajal ne Aan Dhar liya
Ankhen Taras k reh gaeen, Kya Tishnagi si ho gai
Guldan toOt Gir gya, Makrri ka Ghar bhi Ban gya
Kamre se Chizen Uth gaeen, Aur Sadgi si hogai
Ushaq ki Gali me ik Jashan Bpa hai Ajkal
Marne ka Zikar kya Chhirra, k Zindgi si hogai
Kkhuda rakhe JANAB ko, kya Sarfrosh Noor hai
Almas Bhaint Charh gay, Sub Roshni si hogai
Ghazal ki Fakhta Meri, Nasib e Dushmana hui
Qismat ka RoOp Chhin gya, Wo Shomai si hogai
Kahani apne Pyar ki Dono me ese Batt gai
Unwan RAZAB ban gya, Wo An'kahi si ho gai
khakiG
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya