PO@T RAZAB TABREZ
***IMRAN KHAKI***
Gham e Ashiqi, Gham e Tishnagi, Gham e Zindgi, Gham e Justju
Ye Chaar Yaar ! Meri Bait se, Bane Mautbar, Hue Khubru
Jo kiye Nahi Wo Gilay Nahi, Rahe Kamran Jo Jiye Nahi
Ye hai aur Baat Yahan Dast se, Gireban o Chaak rahe Dubadu
Su e Daar ka jo kiya Safar, To Ayaan Hua Meri Zaat Par
Ye AsoOl e iShq ka Mizaj hai, Jo Hai Surkh Rung ! Wohi Surkh'Ru
Razakaar hen Tere Ishq me, Rahen Misar me Ya Damishq me
Tere Naam ki Hamen Qasm hai, Koi Aas Hai, Na Hai Arzu
Ye Swang hai ! To Ho Khushnuma, Ye hai Mojza ! To ho Runuma
K ! Chragh Ankh k Taaq par, Dikhe har Jagah, Phire KuBaKu
Kuch Be'Wajha hi Pighal liye, Kuch Shayari Ne Nigal liye
Mere Harf Thay Wohi PayeDaar, Jo Sada rahe Tere Rubaru
Tere RAZAB ki Sbhi Ungliyan, Karen Aaj bhi Yehi Tasbiyan
Mujhse Sirf Tumse Niaz hai, Mujhe Sirf Tu, Mujhe Sirf Tu<~~
KHAKI*G
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya