Po@t RAZAB TABREZ
'*"*IMRAN KHAKI*"*'
'*'.
Hai Arzu Agar ! To Usko, laa'Tmam le
Mushkil me Jese Admi, Khuda ka Naam le
Sharab ki BehboOd aur Falah k Waste
Main Teri Ankh Peeta hun, Tu Mere Jaam le
GharoOr e Aftaab, Tere ! Din Chune Gay
Yakin k irFan se, JiGar ko Thaam le
Kaatib e Amal bhi, Qalam Torr kar Uthe
Ae Gardish e Ayyam ! Zra Wo Muqam le
Main Yousafi Andaz me, Bazaar Dekh lun
Balqees ki lehak me, Zulekha ka Naam le
Charagari ! Bila'Shuba hai Khaas Martaba
Chahe Ye Mile EiSsa ko, Chahe iMaam le
Ilzaam Gulfshaan rahenge, Husan e Jurm par
Ilzaam Agar Aik Baar ! Khush Khraam le
Asmat e Maryam ka Qissa, Ghol Ghol Pee
Raat me Fursat Nahi, To Subha Sham le
Apni Raza pe Zid ko Tu, Yazid Mat Bna
Tewar Dabe hue Hen, Yun Na Intqam le
Aqal k Paniyon me, Warna DoOb jaey Ga
Dil Nakhuda hai, Nakhuda se Thora Kaam le
Qismat se, Muamlat sare Honge Na RAZAB
Ab apne Hath, Apne Sare Intzam le
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya