*PO@T RAZAB JANI*
***IMRAN KHAKI***
Manzar jo Thehra Ankh me, Wo khwab Ban gya
Gajra ! kalai lagte hi HubaB Ban gya
Shohrat k 4 Chand jise Chumte Rahe
Tukra Chamak Chamak k Wo Shahab Ban gya
FoOt Path ka ik Admi, jab Khastgi liye
Mehfil me Pohncha Aapki, "JANAB" Ban gya
Husan ka aZal se Badan me Raaj Paatt hai
Bachpan ko Fatah karte hi, ShaBab Ban gya
Kese NaqoOsh Ban gay, Naqsh e lakeer me
Acha Bhala Taveez Tha, Kharab Ban gya
Jab Ankh Mujh pe Uth gai, Phir kesi Munsafi
Tum Muskura uThe, Main Sazayaab Ban gya
Amal e Angez hota hai Aza ka Raqs bhi
Jab Dekh lia, KhoOn hi Tezaab Ban gya
Unse Manazray ka hai DilchasP Waqya
Ik lamha Chup rha, to Wo Jwab Ban gya
Jab khud ko Dhundne Chala Zaad e Safar Bina
Khizar ! Khalil ho k Hum Rakaab Ban gya
RAZAB Ko Saharaen ese Raas aa Gaeen
Jadu me Barhte Barhte, Afrasyab Ban gya
khakiG
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya