PO@T RAZAB TABREZ
***IMRAN KHAKI***
Maktab e WajOod, Gar ! Myari rahe ga
Nisab e iShq Phir Hmesha, Jaari rahe ga
Jafa Pasand Talba Sare ! Yak Zuban hen
MazmOon e Wafa, ab k ! iKhtyari rahe ga
Jab Talak Husan ki Waba, Aam rahegi
Ye ManchalOn ki Ankh ki, Bimari rahe ga
Rung Rezi ki Bisaat par, Hurmat k Khail me
Shikar ho k,Dekhye ! Shikari rahe ga
Us Dast e Yasmin se, Nikla aBeer Rung
Hajum e Gul me, Khushbu ki Swari rahe ga
Jo B Fareb ! Ghol kar, LafzOn me Pila De
Wohi Byan ! Qalb ko, Sarkari rahe ga
Jo Jurm e Zauq kar k, Khata'kaar ho Gya
Jahan b rahega, Wo Ishtahari rahe ga
Itni to SoOjh BoOjh, Rukh e Marmareen ko hai
K ! Jitna Muskurae ga, GulNari rahe ga
Sawan me Chair Chaar ki Bqa k Waste
Saba k Peeche, Abar ik Juwari rahe ga
Lachak ka Teer, Pusht se Agar Nikal gya
Angrrai Par KhinchaO ! Kese Taari rahe ga
RAZAB ! Rida e Yaar Par, Namaz jo Mile
Anchal pe Sajda ! Gotta o Kinari rahe ga<~~
KHAKI*G
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya