Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Friday, 5 October 2012

Mere Shehar Se Door Ek Basti Thi, Jahan Wo Shokh Haseen

Poet Kashif Nadeem

Mere Shehar Se Door Ek Basti Thi,

Jahan Wo Shokh Haseen Larki Rehti Thi,

Aankhon Mein Ek Masti Thi Wo Din Raat Hansti Thi

Wo Bahut Dukhi Thi Par Apne Dukh Mein Bhi Reh Kar Logon Ko Hansati Thi

Wo Mere Pass Thi Na Jane Mujh Ko Kion Lagta Tha K

Bahut Door Mujh Se Wo Rehti Thi

Lagi Hai Us Ki Hansi Ko Kuch Is Tarha Se Logon Ki

Nazar K Wo Us Din Se Udas Bahut Rehti Thi

Apne Dukh Hi Bus Gungunati Thi

Ab To Veeran Hai Wo Bahagh BhI Jahan Wo Jati Thi,

Ab To Kuch Youn Howa Hai "KASHIF"

Us Ki Hansi Ek Kamre Mein Hi Dab K Reh Jati Thi.

Mere Shehar Se Door Ek Basti Thi Jahan Wo Haseen Larki Rehti Thi................!

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya