PO@T RAZAB TABREZ
***IMRAN KHAKI***
Na Qais Na Farhad Na Ranjhe k Byaan se
Wo Sirf Muskrate hen is Dil k Gumaan se
Main Pristar e Vasl hun Wo Pristar e Shrm
1 Din to koi jaega 2no me iMaan se
Acha hai Firdos me koi Rsm Nhi hai
HoOron ko Wrna Deta, Munh Dikhai kahaan se
Jo Dil dia to Bole k, Iska kya krun
2 Gajre b Na laa ske PhoOlon ki Dukaan se
Wo B'Niqab aa rhe hen, DoOr hi Rahiyo
Nikalte hue Sans ne kaha ye Tufaan se
Zulf e Draaz ne Zamin ko ChoOm kr kaha
Koi Na Barrhe Teergi me Aur yahaan se
Tarif Unki Hum ne b Suni he Bar'ha
Khurshid se, Khushbu se, Titli ki Zubaan se
Nazdikiyon k Baar se Alfaz Sil Chuky
Ehsas Mgr Jaari he, Honto k Nishaan se
Nass Nass Meri Sabeel he Shrab e Ishq ki
So Chuskiyan Bhar lete hen Wo Neel e Rawaan se
Hijr b Mujhe Nafli iBadat ki Trah hai
Main Aah k Khilaf hun, Nafrat hai Fughaan se
RAZAB! Hamen Gale Milo k Hum Bure Nhi
Is Dais Hum Safeer hen 1 Mulk e Amaan se.
KHAKIG
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya