PO@T RAZAB TABREZ
**IMRAN KHAKI**
Shab ki Wehash ko Kaat'ta JunOon bhi hai Aajkal
Pehar ko Din me Dhaalta, FasoOn bhi hai Aajkal
Bismil Tarap Tarap k ab, Su e Adam Chala gya
Rahat Nikah me aaGai, SakoOn bhi hai Aajkal
Anqarib Rat'jga ! Mehfil me Unki aaeyGa
Urti hui Khabar bhi hai, ShagoOn bhi hai Aajkal
Jalwat k Daam Gir gay, Khalwat ka Mol Charh gya
Mehram Khushi se ChoOr hai, MamnOon bhi hai Aajkal
EisSa Nahi to Charagar, koi to laO Rehbaro
Waba e iShQ Chal pari, TaoOn bhi hai Aajkal
Majnu Hmare Shehar ki, Har Shahra e Aam par
Badnam bhi hai in Dino, Mal'oOn bhi hai Aajkal
Mere NisaB e Khird me, Bus Baab e iShq Reh gya
Hwala e Matan hua, MazmOon bhi hai Aajkal
Wo bhi Andaz ! Hatimi, apna Chuke Deedar me
Kaasa Mere Nasib ka, QaroOn bhi hai Aajkal
Jab se RAZAB Saza k Phal, Bagh e Jaza me Pak Chale
Nazar me Takhta Daar hai, RangoOn bhi hai Aajkal
KHAKIG
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya