WRITTEN BY RAZAB TABREZ
****IMRAN KHAKI****
Sha'oOr e May Ubal Para, Aqal pe Phir Khumar hai
Ghazal ki iBtda kro, Fiza bhi Sazgaar hai
GulOn k Kafan k liye, KafoOr kOn laey ga
K BaghBan to Mar Chuka, Bahaar bhi Tyar hai
Iman o Dil kisi Tarah, Jo ho sake Bcha rakho
Qatil Bala ka Tez Tar ! Qazaq hai, Ayaar hai
Afsanvi Romaan me, Husan ne Hosh se kaha
JunoOn se Hath khench le, JunoOn to Ganwaar hai
Haya k Sung laalGi, aZal se ik Misaal hai
K jese Geet hai Jahan, Wahin kahin Sitaar hai
Wo Jaa Chuka To apne Ghar, Main Dhundta he reh gya
Kahan kahan SakoOt hai Kahan Kahan Pukaar hai
Zamin hi Sada yahan ! Falak k Aib kyu Bhare
To Chand ko Sazaen do, Jo Jal me kuch Jawaar hai
Zindgi se Maut ko, Shehar ne Youn Mila Dia
Jnazah'Gah hai Jis taraf, Usi Taraf Bazar hai
Wo kehte kehte Aaj Phir, RAZAB se doOr ho gay
K ! Kaif Pesh Pesh hai, laHu me ik Sayyaar hai-
khaki G
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya