Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday, 30 October 2012

Ulfat me, Mujh me, Yaar me, Bechain kOn hai


Po@t  RAZAB TABREZ
'*"*IMRAN KHAKI*"*'
'*'.
Ulfat me, Mujh me, Yaar me, Bechain kOn hai
'
Teeno k is Shumar me, Bechain kOn hai
'
Baad e Saba ne Ghunche se, Sargoshi me kaha
'
Kali me, Gul me, Khaar me, Bechain kOn hai
'
In Aatishi SholOn se kai Dil Sulag uThe
'
Tu hi Bta, Rukhsaar me Bechain kOn hai
'
Gahak to Sare Raat hi Khush kar diye Gay
'
Phir aur ab Bazaar me, Bechain kOn hai
'
Dil me liye An'Dekhe kisi Weham ka Qyas
'
Doli me, Ya Kahaar me, Bechain kOn hai
'
Kis k liye Saza aBhi Khatam Nahi hui
'
Apne hi inTzar me, Bechain kOn hai
'
Saqi bhi Aaj Sharm khaa k, Puch rha hai
'
Sharab k Khumar me, Bechain kOn hai
'
Ba'juz KHUDA ! kisi k bhi Guman me kahan
'
Khinchi hui Muhaar me Bechain kOn hai  '
Wo Khud b Nahi Janta k Uski Chah me
'
Do aik me, Hazaar me, Bechain kOn hai
'
Majburi e RAZAB hai, Ya ye Koi Marz hai
'
MajboOr me Lachaar me, Bechain kOn hai<~~
Khaki.G

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya