WRITTEN BY RAZAB TABREZ
Ye Roz o ShaB k Silsilay, Draz se Draz Tar
Teri Nazar k Faslay, Draz se Draz tar
Bichar Gay Ya Mil Gay, k Mil k Phir Bichar Gay
FurqatOn k Marhalay, Draz se Draz tar
Youn Nhi, Main Wo Nhi, K aur ki Bhi mOh Nhi
WzahtOn k Mantqay, Draz se Draz Tar
PhoOt PhoOt PhoOtna, Din Charhay hi loOtna
Husan k ye Walwlay, Draz se Draz Tar
Pewand Bray Aziz tar, Daghon se Skht Dushmni
Aflaas k ye Tantanay, Draz se Draz tar
Wo But Nhi Khuda Nhi, Bashar se bhi Juda Nahi
Iman k Waswasay yahan, Draz se Draz Tar
Khyal o khwab gOondhna Adab k imTzaj me
Bekaar k hen MashGlay, Draz se Draz Tar
Sajan ka
Zikar Cherna, Saheliyon k Rubaru
Phir Be'Jhijhak se Qehqahay, Draz se Draz Tar
Paala jo inko Shoq se, kuch Kaam bhi to lijiYe
Kaali latton k Azdahay, Draz se Draz Tar
Ye Parhte Parhte gHaZaL ko, laPak k kyu Bharak Uthay
GaalOn k Surkh Atishay, Draz se Draz Tar.
khaki G
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya