Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday, 30 October 2012

Ujla hai maGar Such kahun, MasoOm Nahi hai



PO@T RAZAB TABREZ
***IMRAN KHAKI***
Ujla hai maGar Such kahun, MasoOm Nahi hai
Kafan ko apna Darr abhi MalOom Nahi hai

Apni Nazar ne Dekhi, Faqat Maut Hasina
K jis k Peeche, koi Bhi HajoOm Nahi hai

Main bhi Chalaun iSm, To Bimar Gee Uthen
Niyat Zrur hai, Magr MazmOom Nahi hai

Ik Tara Mujh pe ToOt Gira Neend k Doraan
Ye Khwab Khas lagta hai, amOom Nahi hai

Khaqi Khamir ho k bhi kyu Gul se DoOr hun
Ye Esa Raaz hai k Jiski DhoOm Nahi hai

Fitrat Pe Paida Hota hai Fitrat ki Dain hai
Bacha kisi Mazhab se Kuch mOsoOm Nahi hai

Chahe Saza Kharid lo Ya Maang lo jaZa
Malik to Apni Zaat me MaqsoOm Nahi hai

Nabi ka Adal Such hai, Magar ye bhi Suna hai
AEYSHA k Jesi laadli, KALSOOM Nahi hai

Shab e Meraj ! Vasal k Ehsas ka Byan
Ik Qalb siwa, Warq par RaqoOm Nahi hai

Ghazal pe Tum iMan Dharo, kuch Gunah Nahi
RAZAB hai, koi Mahir e NajoOm Nahi hai
KHAKIG

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya