TEXT BY
ALI IMRAN QADRI
Poet
PEER NASEER_O_DEEN
NASEER GULDAVI
.
.
.
Bulaya Agar Maine Aayen Ge Kia
Meri Baat Wo Maan Jayen Ge Kia
Humari Wafayen Bhulayen Ge Kia
Hume Khoyen Ge Wo To Payen Ge Kia
Naya Koi Fitna Uthayen Ge Kia
Hume Ap Phir Aazmayen Ge Kia
Unhe Aur Jhagrron Se Fursat Kahaan
Mere Dil Mai Wo Ghar Banayen Ge Kia
Khizaan Jin Ki Kismat Mai Lekhi Gayi
Gulstaan Mai Wo Muskurayen Ge Kia
Tumhee Se Humain kia Faiz Hai
Kisi Aur Se Dil Lagayen Ge Kia
Nahi Jin Pe Chashme Karam Ap Ki
Wo Meri Nazar Mai Samayen Ge Kia
Nazakt Qadam Uthne Deti Nahi
Mere Ghar Bhala Ap Aayen Ge Kia
Hum Un Ki Aadaown Pe Khod Mar Mite
Sataye Howon Ko Satayen Ge Kia
Laho Khoshk Dil Khoshk Dam Khoshk Hai
Hum Ankho Se Anso Bahayen Ge Kia
Naseer Ahle Dil Ka Bharm Hai Abi
Unahe Dekh Kar Mar Na Jayen Ge Kia
And
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya