Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Thursday, 27 December 2012

Seene ki Lakrriyon ka Sara, Maal Aur hai By RAZAB

Po@t RAZAB
6-12-2012

Seene ki Lakrriyon ka Sara, Maal Aur hai

Is Dafa ! December me, Sayaal Aur hai

Khayal e Yaar ka, Zehan se Dohra Lain Dain

K ! Farawani Munfrid, Aakaal Aur hai

Dharkanon ki Dard se, Naee Dua Salam

Ham'Nawa Purane hen, Qawaal Aur hai

Aaj ! Jaari Ho Gaeen, Tafseeli Malumaat

Abhi ! Sa'oObaton ka, Janjaal Aur Hai

Lakeer ka Faqeer hai, Khursheed e Muqadar

Aur ! Apni Simt me, Shumaal Aur hai

Jabeen Ki Rukhsaar se, Mumaslat Nahi

Khrash Zra Mukhtlif hai, Khaal aur hai

Tappak k Dhol Peet'te hen, Aik se Magar

Aansu ! Aur Karigar hen, Raal ! Aur hai

Adaalat e iZhaar me, Ba Naam e Gwahi

Tamtmahat ! Aur hai, Jalaal Aur hai

Swaliya Nishan par, Bikhar k Amal me

Sharm Aur Jins hai, Malaal Aur hai

Badan ki RAZAB ! Har Jagah Zarurten Alag

Naqaab Aur Hota hai, RoOmaal Aur hai:-*

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya