Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Friday, 11 January 2013

Apne hathon ki lakiron By Qateel Shifai

='="="="="="="='=
PO@T
Qateel Shifai
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Apne hathon ki lakiron mein basale mujh ko...!<
+
Main hun tera, nasib apna bana le mujh ko...!<
+
Main jo kanta hun to chal mujh se bacha kar daman...!<
+
Main hun gar phool to jure mein sajale mujh ko...!<
+
Mujh se tu puchne aya hy wafa k mani...!<
+
Ye teri sada dili mar na dale mujh ko...!<
+
Main samandar B hun moti B hun gotazan B...!<
+
Koi B nam mera le K bula le mujh ko...!<
+
Tu ne dekha nahin aine se age kuch B...!<
+
Khud parasti mein kahin tu na gawa le mujh ko...!<
+
Kal ki bat aur hy main ab sa rahun ya na rahun...!<
+
Jitna ji chahe tera aj sata le mujh ko...!<
+
+
Khud ko main bant na dalun kahin daman daman...!<
+
Kar diya tu ne agar mere hawale mujh ko...!<
+
Main khule dar k kisi ghar ka hun saman pyare...!<
+
Tu dabe paon kabhi Aa K chura le mujh ko...!<
+
tark-e-ulfat ki qasam B koi hoti hy qasam...!<
+
Tu kabhi yad to kar bhul'ne wale mujh ko...!<
+
bada phir bada hy main zahar B pee jaun '__'Qateel'__'...!<
+
Shart ye hy koi bahon mein sambhale mujh ko...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Retyp date
11/01/13

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya