TYPET BY
ALI IMRAN QADRI
Poet
PEER NASEER.O.DEEN NASEER GULDAVI
.
.
.
Samaj Aayi Magar Barso Rahe Dhokhe Mai Hum Pehle
Adab Gah.E.Haram Se Butqada Tha Do Qadam Pehle
Ghazab Hai Tera Yun Palke Japakte Hi Badal Jana
Sitam Hone Laga Un Par Keh Tha Jin Par Karam Pehle
Haya Kahye Keh Zid Dono Taraf Se Than Gayi esi
Qadam Apna Uthaye Ge Na Wo Pehle Na Hum Pehle
Humara Kia Hai Tere Sath Thori Hum B P Le Ge
Khuda Ka Nam Le K Jaam Utha Shekhe Haram Pehle
Tere Aane Se Pehle Hi Bichate Raah Mai Aankhe
Khabar Aamad Ki Dena Chahye Thi Kam Se Kam Pehle
Baqa Ki Justju Hai To Fana Kar Apni Hasti Ko
Keh Hast.o.Bood.e.Aalam Se Hai Duniae.Aadam Pehle
Meri Taqdeer K Bal Ka Niklna Bad Mai Ho Ga
Zara Seedhe To Ho Le Ye Teri Zulfo K Kham Pehle
.
Judai K Tasavor Se Bhar Aaye Aashk Aankho Mai
Chale Jana Thehrne Do Selabe Gham Pehle
Janab.e.Shekh KI Dar Parda Rindi Ka B Kia Kehna
Pohnch Jate Hai Aaksar Mai.Kade Mai Mohtram Pehle
Chale Hai Koow.E.jaana Ki Tarf Hum B Pas.e.Qasid
Naseer Ab Dekhte Hai Wo Pohnchta Hai Keh Hum Pehle
And....
1/1/13
BOOK NAME
PAIMANA E SHAB
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya