Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Monday, 7 January 2013

Chor Do Ge Tum Hum Ko Kalam Peer Naseer Sb

Poet
PEER NASEER.O.DEEN NASEER GULRHVI
TexT BY
ALI IMRAN QADRI

Chor Do Ge Tum Hum Ko Dushman K Behkane Se Kia

Youn Tumhe Mil Jaye Ga Apno Ko Tarpane Se Kia


Laakh Sumjao Magr Hota Hai Sumjane Se Kia

Hosh Ki Bate Kro Uljo Ge Diwane Se Kia


Ap Ki Bate Sune Wayz Magr Maane Nahi

Chot Khata Ap Jese Jane Pehchane Se Kia

Raqs K Aalam Mai Ho Jese Ye Sara Maikada

Aankh Saqi Ne Mila Rakhi Hai Pemane Se Kia


Kher Hum Ne Maan Li Jo Baat B Tum.ne Kahi

Tum Kaho Tum Ko Mila jhoti Kasm Khane Se Kia


Sam.ne Jab Aa Gaye Kesi Haya Kesa Hijab

Fayda Ab Moun Chopane Aur Sharmane Se kia


Dekh Zahid Badah Sar Josh K Chente Hon

Tere Daman Par Hai Ye Tasbih K Dane Se Kia


Tark.e.ulfat Aur Phr Ulfat B Us Be.Misal Ki

Mai Behk Jaoun Ga wayz Tere Behkane Se Kia



Aagh Mai Apni Jala Kar Khak Kar Dala Use

Shamah Akhir Dushmni Esi B Parwane Se Kia


Chara Saazo Kiun Dawa Karte Ho Mar Jane B Do Muje

Bazam Ho Jaye Gi Sooni Mere Uth Jane Se Kia


Mai.Kashi Lazim Nahi Hai Bazam.e.Saqi Mai Naseer

Kaam Jub Aankho Se Chal Jaye To Pemane Se Kia

And

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya