Poet
PEER NASEER O DIN NASEER
TexT BY
ALI IMRAN QADRI
.
.
.
Silsla Toote Na saqi Hosh urh Jane k Bad
Muj Ko Milta Hi Rahe pemana
Pemane K Bad
Kho Dia Dunia Mai Jo Koch Tha Tuje Pane k Bad
Jaan Se Jana Para Hum ko Tere Ane K Bad
Tu Hi Tha Wo Shamah Jis Roshni Thi Har Tarf
Rang Mehfil Mai Kaha Ab Tere Uth Jane K Bad
Jao Betho Chen Se Mai Kia Kahun Tum Kia Suno
Ab Pashe.Mani se Kia Hasil Sitam Dhane K Bad
Is Ka Kia Kehna Hai Zahid K Thekane Hai Boht
Ye Kisi Masjid Mai Ja Bethe Ga Mehkhane K Bad
Shamahe Mehfil Roye Ya Hans Kar Guzare Subah Tak
Kon Ab Jalne Yaha Aye Ga Parwane K Bad
Husan.e.Rukh Ki Ik Jalak Ne Kar Diye Usan Gum
Hosh Aya To Magr Un K Chale Jane K Bad
Such Hai Koi B Sharek.e.Dard.o.Gham Hota Nahi
Ho Gaye Aehbab Rukhst Muj Ko Sumjane K Bad
Ab To Kehte Ho Keh Ja Meri Nazr Se Door Ho
Tum Mana.ne Aao Ge Muj Ko Mar Jane K Bad
Kon Rota Hai Kisi Khasta Hali Par Naseer
Zere.Lab Hansti hai Dunia Mere Lut Jane K Bad
And
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya