Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Sunday, 27 January 2013

Too Ne jo Bakshe Hume Asbaab.e.Gam Ache Lage

TYPET BY
ALI IMRAN QADRI

Poet
PEER NASEE_O_DEEN
NASEER GULDAVI
.
.
.
Too Ne jo Bakshe Hume Asbaab.e.Gam Ache Lage

Tere Be.jaa Zulam B Teri Qasam Ache Lage


Gam Ki Dunia Se Howi Manoos Youn Taab.e.Hazee

Apne Gam Ache Lage Dunia K Gam Ache Lage


Ik Isi K Dam Se The Ahl.e.Janon Mai Be.Waqar

Aqal Kho Kar Koocha.E.Janaan Mai Hum Ache Lage


Paas Jab Aaye To Hum Par Khul Gaya Daam.E.Freeb

Door Se Kia Kia Teri Zulfo K Kham Ache Lage


Hum Bura Kehte Rahe Jab Tak Shanasai Na Thi

Maiqade Mai Aaye To Shekh.E.Haram Ache Lage


Roog Dil K Dhul Gaye Qismat K Ukade Khul Gaye

Ap Ki Nisbat Howi Hasil To Hum Ache Lage


Dil Unhe De Kar Muhbat Ka Bharm Rakhna Parra

Be Rukhi Achi Lagi Zulm.o.Sitam Ache Lage


Ahl.E.Aalam Se Hi Kia Be Atnayi Ka Gila

Mere Afsane Naseer Un Ko B Kam Ache Lage

And...
BOOK NAME
PAIMANA E SHAB

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya