TYPET BY
ALI IMRAN QADRI
Poet
PEER NASEE_O_DEEN
NASEER GULDAVI
.
.
.
Har Ada Yun Hai Saza Ho Jese
Ye B Ik Un Ki Ada Ho Jese
Un Ka Aana B Hawa Ho Jese
Chor Angan Mai Choopa Ho Jese
Yun Hai Pehlo Mai Dil.e.Afsorda
Saaz Khamosh Parra Ho Jese
Muj Ko Mehfil Mai Bolata Hi Nahi
Tu Muje Bhool Gaya Ho Jese
Is Tarah Kanp Gaya Dil Mera
Tum Ne Koch Muj Se Kaha Ho Jese
Aaraz Ese Keh Chaman Mai Do Phool
Zulf Esi Keh Bala Ho jese
Ishaq Ka Bhed Chopaye Na Chopa
Mere Mathe Pe Lekha Ho Jese
Is Tarah Gam Ne Pukara Muj Ko
Kisi Saayel Ki Sada Ho Jese
Mera Dil Aur Muji Se Bezaar
Un K Pehloo Mai Raha Ho Jese
Hai Khafa Lafz.E.Wafa Par Wo Naseer
Baat Karna B Khata Ho Jese
And
BOOK NAME
PAIMANA E SHAB
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya