TYPET BY
ALI IMRAN QADRI
Poet
PEER NASEE_O_DEEN
NASEER GULDAVI
.
.
.
Aa Gayi Chal K Hawayen Tere Diwane Tak
Ab Yahi Le K Chale Gi Use Mekhane Tak
Koi Cherre Na Muje Aehd.E.Bahar Aane Tak
Mai Pohnch Jaoun Ga Khod Jhom K Mekhane Tak
Aa K Khod Raqs Kiya Karta Hai Jal Jane Tak
Shamh.E.Sozaan kabi Jati Nahi Parwane Tak
Aana Jana To Hai Vayiz Mere Kaashane Tak
1 Din Ap Chale Aao Ge Mekhane Tak
Ab Nqaaht Ka Ye Aalm Hai K Uthte Nahi Hath
Sirf Nazreen Hi Pohnch Sakti Hai Pemane Tak
Is Karre Wakt Mai Ahbaab Na Kaam Aaye Ge
Tashngi De Gi Sahara Muje Mekhane Tak
Dhyaan zahd Ka Khuda Tak Kisi Sorat Na Gaya
Dastras Thi Use Tasbeh K Har Daane Tak
Tuj Ko Bhoole Se B Mai Bhool Sakun Na Mumkin
Ye Taluk To Rahe Ga Mere Mar Jane Tak
.
.
Dil Pe Aalam Ye Ghuthan Ka Ye Saba K Gumze
Dekhye Kia Ho Teri Zulf K Lehrane Tak
Raah Dushwar Nahi Sang Nahi Khar Nahi
Mutmin Ho K Wo Aaye Mere Kashane Tak
Tum To Apne The Na Thi Tum Se Ye Umeed Hume
Koi Marta Ho To Aa Jate Hai Be.Gane Tak
Aaj Kal Bekhodi Shok Ka Aalam Hai Ajeeb
Kahi Mai Ap Na Kho Jaoun Tuje Pane Tak
Muot Bar Haq Hai Magr Aakhri Khowahish Ye Hai
Saans Chalti Rahe Meri Tere Aa Jane Tak
Bat Karni Hai Nkereen Se Tanha Sb Ko
Sath Rehte Hai Ye Ahbab To Dafnane Tak
Qadam UthTe NahI Ab Zaaf Ka Aalam Hai Naseer
Koi Le Jaye Muje Thaam K Mekhane Tak
And
TYPNG DATE
5/1/13
BOOK NAME
PAIMANA E SHAB
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya