TYPET BY
ALI IMRAN QADRI
Poet
PEER NASEE_O_DEEN
NASEER GULDAVI
.
.
.
Heraan Hazaro Hai Pareshan Hazaro
Phirte Hai Tuje Dhoondte Insan Hazaro
Majnu Hi Pe Kia Lut Gaye Insan Hazaro
Ik Dast.e.Janoon Mai Hai Gireban Hazaro
IlLzam Tere Sar Hai Behr Aan Hazaro
Hai Zulf.e.Pareshan Se Pareshan Hazaro
Ifa Kabi Ho Jaye To Taqder Hmari
Baande To Hai Us Shokh Ne Pemaan Hazaro
Abroo Hai Keh Mehrab.e. QiblLa Ushaq
Aankho Pe Luta Bethe Hai Imaan Hazaro
Zahd Ne Chalkta Howa Sagar Nahi Dekha
Har Moj Mai Posheda Hai Toofan Hazaro
Ho Jaye Inayt Ki Nazar Kash Idhar B
Hum Dil Mai Liye Bethe Hai Armaan Hazaro
O Parda Nasheen 1 Zara Jalwa Numa Ho
Bethe Hai Tere Sokhta Samaan Hazaro
Dunia.e.Muhbat Mai Naseer 1 Hum Hi Kia
Ghar Baar Kiye Bethe Hai Viraan Hazaro
+*/THE/AND/*+
TyPeNg DaTe
5/1/13
BoOk NaMe
PAIMANA E SHAB
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya